Wo Be-Dardi Se Sar Kaatein Amir Aur Main Kahun Un Se; Huzoor Aahista-Ahista, Janaab Ahista-Aahista! |
Kis Dhitahai Se Woh Dil Chheen Ke Kehte Hain Ameer; Woh Mira Ghar Hai Rahe Jis Mein Mohabbat Meri! |
Baad Marne Ke Bhi Chhodi Na Rafaaqat Meri; Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri! |
Aafat To Hai Woh Naaz Bhi Andaz Bhi Lekin; Marta Hun Main Jis Par Woh Ada Aur Hi Kuch Hai! |
Aafat To Hai Woh Naaz Bhi Andaz Bhi Lekin; Marta Hun Main Jis Par Woh Ada Aur Hi Kuch Hai! |
Wo Dushmani Se Dekhte Hain Dekhte To Hain; Main Shaad Hi sahi, Hoon To Kisi Ki Nigaah Mein! Shaad = Delighted/Cheerful |
Aafat To Hai Woh Naaz Bhi, Andaz Bhi Lekin; Marta Hun Main Jis Par, Woh Ada Aur Hi Kuch Hai! |
Jhonka Idhar Na Aaye Naseem-e-Bahaar Ka, Naazuk Bahut Hai Phool Charaag-e-Mazaar Ka; Phir Baithe-Baithe Vaad-e-Vasl Us Ne Kar Liya, Phir Uth Khada Hua Vahi Rog Intezaar Ka; Shaakhon Se Barg-e-Gul Nahi Jhadte Hain Baag Mein, Zevar Utaar Raha Hai Uroos-e-Bahaar Ka; Har Gul Se Laalazaar Mein Ye Puchta Hun Main, Tu Hi Pata Bata De Dil-e-Daagdaar Ka; Is Pyaar Se Fishaar Diya Gor-e-Tang Ne, Yaad Aa Geya Maza Mujhe Aagosh-e-Yaar Ka; Hilti Nahi Hawa Se Chaman Mein Ye Daaliyan, Munh Choomte Hain Phool Uroos-e-Bahaar Ka; Uthta Hai Naza Mein Vo Sarhane Se Ai 'Ameer', Mitta Hai Aasra Dil-e-Ummeedvaar Ka! |
Hans Ke Farmaate Hain Wo Dekh Kar Halat Meri, Kyon Tum Aasaan Samajhate The Mohabbat Meri; Baad Marane Ke Bhi Chhodi Na Rafaaqat Meri, Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri; Maine Aagosh-e-Tasavur Mein Bhi Khencha To Kaha, Pis Gayi Pis Gayi Bedard Nazakat Meri; Aaina Subah-e-Shab-e-Vasl Jo Dekha To Kaha, Dekh Zaalim Ye Thi Shaam Ko Soorat Meri; Yaar Pehalu Mein Hai Tanhayi Hai Keh Do Nikle, Aaj Kyon Dil Mein Chhupi Baithi Hai Hasrat Meri; Husn Aur Ishq Hum Aagosh Nazar Aa Jaate, Teri Tasveer Mein Khinch Jaati Jo Hairat Meri; Kis Dhitaayi Se Vo Dil Chheen Ke Kehte Hain 'Ameer', Vo Mera Ghar Hai Rahe Jis Mein Mohabbat Meri! |
Aafat To Hai Woh Naaz Bhi Andaz Bhi Lekin; Marta Hun Main Jis Par Woh Ada Aur Hi Kuch Hai! |