Abhi Mazaar Par Ahbaab Fatiha Padh Len; Phir Is Qadar Bhi Hamara Nishaan Rahe Na Rahe! Mazaar: Grave Ahbaab: Friends Fatiha: Prayer For The Dead |
Wo Be-Dardi Se Sar Kaatein Amir Aur Main Kahun Un Se; Huzoor Aahista-Ahista, Janaab Ahista-Aahista! |
Shab-e-Visaal Bahut Kam Hai Aasman Se Kaho; Ki Jod De Koi Tukda Shab-e-Judaai Ka! Shab-e-Vidaal: The night of union Shab-e-Judaai: The night of separation |
Hans Ke Farmaate Hain Woh, Dekh Ke Haalat Meri; Kyon Tum Aasaan Samajhte The Mohabbat Meri; Baad Marne Ke Bhi Chhori Na Rafaaqat Meri; Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri! |
Kya Jaaniye Kya Hai Tere Bimaar Ki Haalat; Isa Bhi Yeh Kehte Hain Ke Hai Waqt Dua Ka! |
Kah Rahi Hai Hashar Mein Kah Rahi Hai Hashar Mein Woh Aankh Sharmaai Hui; Haae Kaise Is Bhari Mahfal Mein Ruswaai Hui; Aaeene Mein Har Ada Ko Dekh Kar Kahte Hain Woh; Aaj Dekha Chaaheye Kis Kis Ki Hai Aai Hui; Kah Tu Ai Gulcheen, Aseeraan-e-Qafas Ke Waaste; Tor Lun Do Chaar Kalian Main Bhi Murjhaai Hui; Main Tau Raaz-e-Dil Chhipaaun, Par Chhipa Rahne Bhi De; Jaan Ki Dushman, Yeh Zaalim Aankh Lalchaai Hui; Ghamza-o-Naaz-o-Ada Sab Mein Hai Haya Ka Lagaao; Haae Re Bachpan, Keh Shokhi Bhi Hai Sharmaai Hui; Wasl Mein Khali Hui Aghiyaar Se Mahfal Tau Kya; Sharm Bhi Jaae Tau Mein Jaanun Keh Tanhaai Hui; Gard Uri Aashiq Ki Turbat Se Tau Jhunjala Ke Kaha; Wah Sar Charhne Lagi, Paaon Ki Thukraai Hui! |
Hans Ke Farmaate Hai Woh Hans Ke Farmaate Hai Woh, Dekh Ke Haalat Meri; Kyon Tum Aasaan Samajhte The Mohabbat Meri; Baad Marne Ke Bhi Chhori Na Rafaaqat Meri; Meri Turbat Se Lagi Baithi Hai Hasrat Meri; Main Ne Aaghosh-E-Tasawur Mein Bhi Kheincha Tau Kaha; Pis Gai, Pis Gai Be Dard, Nazaakat Meri; Yaar Pahlu Mein Hai, Tanhaai Hai, Kahdo Nikle; Aaj Kyon Dil Mein Chhipi Baithi Hai Hasrat Meri; Aaeena Subah-E-Shab-E-Wasl Jo Dekha Tau Kaha; Dekh Zaalim, Yehi Thi Shaam Ko Surat Meri; Husan Aur Ishq Hum-Aaghosh Nazar Aa Jaate; Teri Taswir Mein Khinch Jaati Jo Hairat Meri; Kis Dhitaai Se Who Dil Chheen Ke Kahte Hai, Amir; Who Mera Ghar Har, Rahe Jis Mein Mohabbat Meri! Translation: Aaghosh-E-Tasawur: Hug Tight Subah-E-Shab-E-Wasl: Union Night Hum-Aaghosh: Locked In Embrace |