Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi; Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi; Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qaraar; Beqarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi; Chashm-e-Qatil Meri Dushman Thi Hamesha Lekin; Jaise Ab Ho Gayi Qatil Kabhi Aisi To Na Thi; Un Kee Aankhon Ne Khudaa Jaane Kiya Kya Jadoo; Ki Tabiyat Meri Maail Kabhi Aisi To Na Thi; Aks-e-Rukh-e-Yaar Ne Kis Se Hai Tujhe Chamakaya; Taab Tujh Mein Maah-e-Kaamil Kabhi Aisi To Na Thi; Kya Sabab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar; Khoo Teri Hoor-e-Shamaail Kabhi Aisi To Na Thi! |
Tum Na Aaye Ek Din Ka Vadaa Kar Tum Na Aaye Ek Din Ka Vadaa Kar Do Din Talak; Ham Pade Tadpa Kiye Do-Do Pahar Do Din Talak; Dard-e-Dil Apna Sunata Hun Kabhi Jo Ek Din; Rehta Hai Us Naazneen Ko Dard-e-Sar Do Din Talak; Dekhte Hain Khwab Mein Jis Din Kisoo Kee Chashm-e-Mast; Rehte Hain Hum Do Jahaan Se Bekhabar Do Din Talak; Gar Yaqeen Ho Ye Humein Aayega Tu Do Din Ke Baad; To Jiyen Hum Aur Is Ummeed Par Do Din Talak; Kya Sabab Kya Vaasta Kya Kaam Tha Batalaiye; Ghar Se Jo Nikale Na Apne Tum "Zafar" Do Din Talak! |
Baat Karni Mushkil Baat Karni Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi; Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi; Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar; Be Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi; Teri Aankhon Ne Khuda Jane Kya Kya Jadu; Ki Tabiyat Meri Mayal Kabhi Aisi To Na Thi; Kya Sbab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar; Kho Teri Hoor Shmail Kabhi Aisi To Na Thi! |
Baat Karni Mushkil Baat Karni Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi; Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi; Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar; Be Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi; Teri Aankhon Ne Khuda Jane Kya Kya Jadu; Ki Tabiyat Meri Mayal Kabhi Aisi To Na Thi; Kya Sbab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar; Kho Teri Hoor Shmail Kabhi Aisi To Na Thi! |
Aashna Ho To Aashna Ho To Aashna Samjhe; Ho Jo Na-Aashna To Kya Samjhe; Hum Isi Ko Bhala Samhhte Hain; Aapko Jo Koi Bura Samjhe; Vasal Hai Tu Jo Samjhe Use Vasal; Tu Judaa Hai Aagr Judaa Samjhe; Jo Zeher Deve Apne Haath Se Tu; Tera Bimar-e-Gum Dawa Samjhe; Ho Wo Baigana Ek Alam Se; Jisko Apna Wo Dilruba Samjhe; Ai 'Zafar" Woh Kabhi Na Ho Gumraah; Jo Mohabbat Ko Rehnuma Samjhe! |
Nahin Jaata Kisi Se Wo Marz, Jo Hai Naseebon Ka; Na Qayal Hun Dawa Ka Main, Na Qayal Hun Tabibon Ka; Na Shikwa Dushmano Ka Hai, Na Hai Shikwa Habibon Ka; Shikayat Hai To Kismat Ki, Gila Hai To Naseebon Ka! |
Khulta Nahin Hai Haal Khulta Nahin Hai Haal Kisi Par Kahe Bagair; Par Dil Kee Jaan Lete Hain Dilbar Kahe Bagair; Main Kaise Kahun Tum Aao Ki Dil Kee Kashish Se Wo; Ayenge Daude Aap Mere Ghar Kahe Bagair; Kya Taab Kya Majal Hamari Ki Bosa Lein; Lab Ko Tumhare Lab Se Milakar Kahe Bagair; Bedard Tu Sune Na Sune Lek Dard-e-Dil; Rehta Nahin Hai Aashiq-E-Muztar Kahe Bagair; Taqdir Ke Siwa Nahin Milta Kahin Se Bhi; Dilawata Ae 'Zafar' Hai Muqaddar Kahe Bagair! |
Hai Ishq Ki Manzil Mein Haal Ki Jaise; Lutt Jaye Kahin Raah Mein Samaan Kisi Ka! |
Umar-e-Daraaz Maang Ke Laaye They Chaar Din; Do Aarzu Mein Katt Gaye Do Intizaar Mein! |
Par Dil Ki Jan Lete Par Dil Ki Jan Lete Hain Dilbar Kahe Bagair; Main Kyun kar Kahun Tum Ao K Dil Ki Kashish Se Wo; Ayenge Daure Ap Mere Ghar Kahe Bagair; Kya Tab Kya Majal Hamari K Bosa Len; Lab Ko Tumhare Lab Se Milkar Kahe Bagair; Bedard Tu Sune Na Sune Lek Dard-e-Dil; Rahta Nahin Hai Ashiq-e-Muztar Kahe Bagair; Taqdir K Siwa Nahin Milta Kahin Se Bhi; Dilawata Ai , Zafar, Hai Muqaddar Kahe Bagair! |