Kal Jo Tha Aaj Woh Mizaaz Nahi; Is Talavvun Ka Kuch Ilaaz Nahi! Mizaaz: Nature, Coquetry Talavvun: Instability, Agility |
Uzr Aane Mein Bhi Hai Aur Bulate Bhi Nahi; Baais-e-Tarq-e-Mulaqaat Batate Bhi Nahi! Uzr: Excuse Baais-e-Tarq-e-Mulaqaat: The reason to discontinue meeting |
Ujr Aane Mien Hai Aur Bulate Bhi Nahi; Baais-e-Tarq-e-Mulaqaat Batate Bhi Nahi! Ujr: Excuses, Refusal To Meet Baais-e-Tarq-e-Mulaqaat: The Reason For Not Meeting |
Yeh Toh Nahi Ki Tum Sa Jahan Mein Haseen Nahi; Iss Dil Ko Kya Karun Ye Behalta Kahin Nahi! |
Hazrat-e-Dil Aap Hain Kis Dhyaan Mein; Mar Gaye Laakhon Isi Armaan Mein! |
Yeh To Nahi Ki Tum Sa Jahan Mein Haseen Nahi, Iss Dil Ko Kya Karun Yeh Behalta Kahin Nahi! |
Tumhaara Dil Mere Dil Ke Baraabar Ho Nahi Sakta; Woh Sheesha Ho Nahi Sakta Yeh Patthar Ho Nahi Sakta! |
Dil Hi To Hai Na Aaye Kyon, Dam Hi To Hai Na Jaaye Kyon; Hum Ko Khuda Jo Sabr De Tujh Sa Haseen Banaaye Kyon! |
Tumhaara Dil Mere Dil Ke Baraabar Ho Nahin Sakta; Wo Sheesha Ho Nahin Sakta Ye Patthar Ho Nahin Sakta! |
Dil De To Is Mizaaz Ka Parvardigaar De; Jo Aanz Ki Ghadi Bhi Khushi Se Guzaar De! |