Na-Umeedi Maut Se Kehti Hai Apna Kaam Kar; Aas Kehti Hai Thehar Khat Ka Jawab Aane Ko Hai! |
Kitnon Ko Jigar Ka Zakhm Seete Dekha, Dekha Jise Khoon-e-Dil Hi Peete Dekha; Ab Tak Rote The Marne Walon Ko Aur Ab, Hum Ro Diye Jab Kisi Ko Jeete Dekha! |
Abadi Bhi Dekhi Hai Virane Bhi Dekhe Hain; Jo Ujde Aur Phir Na Base Dil Woh Nirali Basti Hai! |
Zikr Jab Chhid Geya Qayamat Ka; Baat Pahunchi Teri Jawani Tak! |
Apni Jannat Mujhe Apni Jannat Mujhe Dikhla Na Saka Tu Waiz; Kucha-e-Yaar Mein Chal Dekh Le Jannat Meri; Sari Duniya Se Anokhi Hai Zamane Se Judaa; Nemat-e-Khaas Hai Allah Re Kismat Meri; Shikwa-e-Hijr Pe Sar Kaat Ke Farmaate Hain; Phir Karoge Kabhi Is Munh Se Shikayat Meri; Teri Kudrat Ka Nazara Hai Mera Izaz Gunah; Teri Rehmat Ka Ishara Hai Nidamat Meri; Lo Tabassum Bhi Sharik-e-Nigah-e-Naaz Hua; Aaj Kuch Aur Badha Di Gayi Keemat Meri; Faiz Yak Lamha-e-Deedar Salamat 'Fani'; Gham Kee Har Roz Hai Badhti Hui Daulat Meri! |
Tinkon Se Khelte Hi Rahe Aashiyan Mein Hum; Aaya Bhi Aur Geya Bhi Zamana Bahar Ka! |
Ek Moamma Hai Samajhne Ka Ek Moamma Hai Samajhne Ka, Na Samjhaane Kaa; Zindagii Kaahe Ko Hai, Khwaab Hai Diivaane Kaa; Khalq Kahtii Hai Jise Dil Tere Diivaane Kaa; Ek Gosha Hai Yeh Duniyaa Isii Viiraane Kaa; Mukhtasar Qissa-e-Gham Ye Hai Ki Dil Rakhta Huun; Raaz-e-Kaunain Khulaasa Hai Is Afsaane Kaa; Tumne Dekhaa Hai Kabhii Ghar Ko Badalte Hue Rang; Aao Dekho Na Tamaasha Mere Gham-Khaane Kaa; Dil Se Ponhchii To Hai Aankhon Men Lahuu Kii Buunden; Silsila Shiishe Se Miltaa To Hai Paimaane Kaa; Hamne Chhaanii Hai Bohat Dair-O-Haram Kii Galiyaan; Kahiin Paaya Na Thikaana Tere Diivaane Ka; Har Nafs Umr-e-Guzishtaa Ki Hai Mayyat Faani; Zindagi Naam Hai Mar Mar Ke Jiye Jaane Kaa! |
Tinkon Se Khelte Hi Rahe Aashiyan Mein Hum; Aaya Bhi Aur Gaya Bhi Zamana Bahaar Ka! |
Tujhe Khabar Hai Tere Teer-e-Bepanah Ki Khair; Bahut Dino Se Dil-e-Natwan Nahi Milta! |