Lakeerein Hain To Rehne Do, Kisi Ne Rooth Kar Gusse Mein Shayad Kheech Di Thi; Unhi Ko Ab Banao Paala Aur Aao Kabaddi Khelte Hain Lakeerein Hain To Rehne Do! |
Zindagi Yun Hui Basar Tanha, Qafila Saath Aur Safar Tanha; Apne Saye Se Chaunk Jaate Hain, Umar Guzri Hai Is Qadar Tanha! |
Zindagi Yun Hi Hui Basar Tanha; Qafila Saath Aur Safar Tanha! Basar: Spent Qafila: Caravan Tanha: Lonely |
Aadatan Tumne Kar Diye Vaade, Aadatan Humne Aitbaar Kiya; Teri Raahon Mein Har Baar Rukkar, Humne Apna Hi Intezaar Kiya! |
Zindagi Ka Lamha Bahut Chhota Sa Hai; Kal Ki Koi Buniyad Nahi Hai Aur Aane Wala Kal Sirf Sapne Mein Hai! |
NASA is my favourite website. The abstract element in my poetry comes from there. |
Waqt Rehta Nahi Kahin Tik Kar; Aadat Is Kee Bhi Aadmii Si Hai! |
Kaayi Si Jam Gayi Hai Aankhon Par; Sara Manzar Hara Sa Rehta Hai; Sehma Sehma Daraa Sa Rehta Hai; Jaane Kyon Dil Bhara Sa Rehta Hai! |
Haath Chhute Bhi Toh Haath Chhute Bhi Toh Rishte Nahi Chhoda Karte; Waqt Ki Shaakh Se Lamhe Nahi Toda Karte; Jiski Aawaaz Mein Silwat Ho Nigahon Mein Shikan; Aisi Tasveer Ke Tukade Nahi Joda Karte; Shahad Jeene Ka Mila Karta Hai Thoda Thoda; Jaane Waalon Ke Liye Dil Nahi Thoda Karte; Lag Ke Sahil Se Jo Behta Hai, Use Behane Do; Aise Dariya Ka Kabhi Rukh Nahi Moda Karte; Jaagne Par Bhi Nahin Aankh Se Girti Kirchein; Iss Tarah Khawabon Se Aankhein Nahin Phodaa Karte; Ja Ke Kohsar Se Sar Maaro Ki Aavwaz To Ho; Khasta Deewaron Se Maatha Nahin Phodaa Karte! |
Aap Ke Baad Yeh Mehsoos Hua Hai Humko; Jeena Mushkil Nahi Aur Marna Bhi Dushwaar Nahi! |