Aap Pehlu Mein Jo Baithein To Sambhal Kar Baithen; Dil-e-Betaab Ko Aadat Hai Machal Jaane Ki! |
Chhup Ke Rehna Hai Jo Sab Se To Ye Mushkil Kya Hai; Tum Mere Dil Mein Raho Dil Ki Tamanna Ho Kar! |
Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe; Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe; Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai; Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe! |
Chhup Ke Rehna Hai Jo Sab Se To Yeh Mushkil Kya Hai; Tum Mere Dil Mein Raho Dil Kee Tamanna Ho Kar! |
Deedaar Ki Hawas Hai Na Shauq-E-Visaal Hai, Azaad Har Khayal Se Mast-E-Khayal Hai; Keh Do Yeh Kohkan Se Hi Marna Nahi Kamaal, Mar Mar Ke Hijr-E-Yaar Main Jeena Kamaal Hai; Fatva Diya Hai Mufti Abr-E-Bahaar Ne, Tauba Ka Khooon Baada-Kashon Ko Halaal Hai; Aankhen Bata Rahi Hain Jaage Ho Raat Ko, In Saaghron Mein Buu-E-Sharab-E-Visaal Hai; Barsaao Teer Mujh Pe Par Itna Jaan Lo, Pehlu Mein Dil Hai Dil Mein Tumhara Khayal Hai; Aankhen Lada Ke Un Se Hum Aafaat Mein Pad Gaye, Aankhon Ki Har Zubaan Pe Dil Ka Sawaal Hai; Bhutt Keh Diya Jo Maine To Ab Bolte Nahin, Itni Si Baat Ka Tumhe Itna Khayal Hai; Pucha Jo Unse Jaante Ho Tum Jaleel Ko, Bole Ke Haan Woh Shayer-E-Naazuk-Khayal Hai! |
Aap Pehlu Mein Jo Baithen To Sambhal Kar Baithen; Dil-e-Betab Ko Aadat Hai Machal Jaane Kee! |
Husn Dekha Jo Buton Ka To Khudaa Yaad Aaya; Raah Kaabe Kee Mili Hai Mujhe But-Khaane Se! Meaning: Buton - Idols But-Khane - Temples, Abode of idols |
Aise Chhupne Se Na Chhupna Hi Tha Behtar Tera; Tu Hai Parde Mein Magar Zikr Hai Ghar Ghar Tera! |
Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe; Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe; Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai; Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe! |
Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe; Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe; Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai; Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe; Dekhiye Jaan Pe Girti Hai Ki Dil Par Bijli; Door Se Taak Rahi Hai Nigah-e-Yaar Mujhe; Garche Sau Baar In Aankhon Se Tujhe Dekha Hai; Magar Ab Tak Hai Wahi Hasarat-e-Deedar Mujhe; Mujhko Parwah Nahi Naseh Teri Ghamkhwari Kee, Gham Salamat Rahe Kafi Hai Yeh Ghamkhwar Mujhe; Sheesha-o-Jaam Pe Saqi Koi Ilzam Nahi; Teri Aankhein Kiye Deti Hai Gunahagaar Mujhe; Yaar Saqi Ho To Chalta Hai Abhi Daur 'Jaleel'; Kaun Kehta Hai Ki Peene Se Hai Inkaar Mujhe! |