Tere Khyaal Ke Deewar-o-Dar Banate Hain; Hum Apne Ghar Mein Bhi Tera Hi Ghar Banate Hain! |
Dariya Dariya Ghume Manjhi Pet Ki Aag Bujhane; Pet Ki Aag Mein Jalne Wala Kis Kis Ko Pehchane! |
Burqa-Posh Pathani Jis Ki Laaj Mein Sau Sau Roop; Khul Ke Na Dekhi Phir Bhi Dekhi Hum Ne Chhanv Mein Dhoop! |
Babu-Giri Karte Ho Gaye Ali Ko Do Saal; Murjhaya Woh Phool Sa Chehra Bhure Paḍ Gaye Baal! |
Ali Ab Ke Kathin Pada Diwali Ka Tyohar; Hum Toh Gaye The Chaila Ban Kar Bhayya Keh Gayi Naar! |
Babu-Giri Karte Ho Gayi Ali Ko Do Saal; Murjhaya Woh Phool Sa Chehra Bhure Paḍ Gaye Baal! |