Hum Ne Seene Se Lagaya Dil Na Apna Bana Saka; Muskura Kar Tum Ne Dekha Dil Tumhara Ho Gaya! |
Aghaz-e-Mohabbat Ka Anjaam Bas Itna Hai; Jab Dil Mein Tamanna Thi Ab Dil Hi Tamanna Hai! |
Aadmi Aadmi Se Milta Hai; Dil Magar Kam Kisi Se Milta Hai! |
Aatish-e-Ishq Woh Jahannam Hai; Jish Mein Firdaus Ke Nazare Hain! |
Tujhe Bhool Jana To Mumkin Nahin Hai; Magar Bhool Jane Ko Jee Chahata Hai! |
Wahi Hai Zindagi Lekin Jigar Yeh Haal Hai Apna; Ki Kaise Zindagi Se Zindagi Kam Hoti Jaati Hai! |
Aadmi Aadmi Se: Aadmi Aadmi Se Milta Hai, Dil Magar Kam Kisi Se Milta Hai; Rooh Ko Bhi Maza Mohabbat Ka, Dil Ki Hum-Saegi Se Milta Hai; Aaj Kya Baat Hai Ki Phulon Ka, Bhool Jata Hun Main Sitam Uske; Hosh Jab Be-Khudi Se Milta Hai, Karobar-e-Jahan Sanwarte Hain; Mil Ke Bhi Jo Kabhi Nahi Milta, Rang Teri Hansi Se Milta Hai; Teri Khush-Qamati Se Milta Hai, Toot Kar Dil Usi Se Milta Hai; Silsila Fitna-e-Qayamat Ka, Woh Kuchh Is Sadgi Se Milta Hai! |
Inhi Mein Kheechkar Roohe-Mohabbat Maine Bhare Hain; Mera Ashyaar Dekhenge Mera Dil Dekhne Waale! |
Mohabbat Mein Kya-Kya Muqaam Aa Rahe Hain; Ki Manzil Pe Hain Aur Chale Jaa Rahe Hain! |
Kahan Door Hat Ke Jaayein, Hum Dil Ki Sarzameen Se; Dono Jahan Ki Sairein Haasil Hain, Sab Yahin Se! |