Khoob Hai Shaunk Ka Ye Pehlu Bhi; Main Bhi Barbaad Ho Gaya Tu Bhi! |
Daad-o-Tahseen Ka Ye Shor Hai Kyun; Hum Toh Khud Se Kalaam Kar Rahe Hain! |
Kab Uska Visaal: Kab Uska Visaal Chahiye Tha, Bas Ek Khayaal Chahiye Tha; Kab Dil Ko Jawaab Se Gharaz Thi, Honthon Ko Sawaal Chahiye Tha; Shauq Yeh Nafas Tha Aur Wafaa Ko, Paas-e-Mah-o-Saal Chahiye Tha; Ek Chehra-e-Sadaa Tha Jo Hum Ko, Be-Misl-o-Misaal Chahiye Tha; Ek Karb Mein Zaat-o-Zindagii Hain, Mumkin Ko Mahaal Chahiye Tha! |
Yeh Kaafi Hai Ki Hum Dushman Nahi Hain; Wafaadari Ka Daava Kyon Karein Hum! Meaning: Daava - Claim |
Ab Woh Ghar Tak Viraana Tha Bas Viraana Zinda Tha, Sab Aankhen Damm Tod Chuki Thi Aur Main Tanha Zinda Tha; Saari Gali Sunsaan Padi Thi Baad-E-Fana Ke Pehre Mein, Hijr Ke Dalaan Aur Aangan Mein Bas Ik Saaya Zinda Tha; Woh Dopeher Apni Rukhsat Ki Aisa Waisa Dhoka Thi, Apne Andar Apni Laash Uthaaye Main Jhootha Zinda Tha; Thi Woh Ghar Raatein Bhi Kahani Vaade Aur Phir Din Ginna, Aana Tha Jaane Wale Ko Jaane Wala Zinda Tha; Dastak Dene Wale Bhi The Dastak Sunne Wale Bhi, Tha Abaad Mohalla Sara Har Darwaza Zinda Tha; Peele Patton Ko Seh-Pehr Ki Vehshat Pursa Deti Thi, Aangan Mein Ik Aundhe Ghade Par Bas Ik Kava Zinda Tha! |
Kaise Kahen Ki Usko BhI Humse Hai Koi Vaasta, Usne To Humse Aaj Tak Koi Gila Nahi Kiya! |
Rooh Pyaasi Kahan Se Aati Hai; Ye Udasi Kahan Se Aati Hail; Dil Hai Shab Do Ka To Ai Umeed; Tu Nidasi Kahan Se Aati Hai; Shauk Mein Aish-e-Vatl Ke Hangaam; Naashiphasi Kahan Se Aati Hai; Ek Zindaan-e-Bedili Aur Shaam; Ye Sabasi Kahan Se Aati Hai; Tu Hai Pehalu Mein Phir Teri Khushbu; Hoke Baasi Kahan Se Aati Hai! |
Mehak Utha Hai Aangan Is Khabar Se; Wo Khushbu Laut Aayi Hai Safar Se; Judai Ne Use Dekha Sar-e-Baam; Dareech Par Shafaq Ke Rang Barse; Main Is Deewar Par Chadh To Geya Tha; Utare Kaun Ab Deewar Par Se; Gila Hai Ek Gali Se Shehar-e-Dil Kee; Main Ladta Phir Raha Hun Shehar Bhar Se; Use Dekhe Zamane Bhar Ka Ye Chaand; Hamari Chandni Chaye To Tarse; Mere Maanan Guzra Kar Meri Jaan; Kabhi Tu Khud Bhi Apni Rehguzar Se! |
Daad-o-Tahsin Ka Ye Shor Hai Kyon; Hum To Khud Se Kalaam Kar Rahe Hain! Meaning: Daad-o-Tahsin = Praise and appreciation Kalaam = Talking |
Tu Bhi Chup Hai Main Bhi Chup Hun Yeh Kaisi Tanhayi Hai; Tere Saath Teri Yaad Aayi Kya Tu Sach-Much Aayi Hai! |