Dil Ki Choton Ne Kabhi Chain Se Rehne Na Diya; Jab Chali Sard Hawa Maine Tujhe Yaad Kiya! |
Meri Tabahi Dil Par To Reham Kha Na Saki; Jo Roshni Mein Rahe Roshni Ko Pa Na Sake! |
Had Hai Apni Taraf Nahi Main Bhi; Aur Un Ki Taraf Khudai Hai! |
Kashti-e-Mai Ko Hukam-e-Ravani Bhi Bhej Do; Jab Aag Bhej Di Hai To Paani Bhi Bhej Do! |
Qadam Insan Ka Raah-e-Dahar Mein Tharra Hi Jaata Hai; Chale Kitna Hi Koi Bach Ke, Thokar Kha Hi Jaata Hai! Rah-e-Dahar: In The Paths Of This World |
Kadam Insan Ka Rah-e-Dahar Mein Thehra Hi Jaata Hai; Chale Kitna Hi Koi Bach Ke, Thokar Kha Hi Jaata Hai! Rah-e-Dahar: In the paths of this world |
Ye Din Bahaar Ke Ab Ke Bhi Raas Na Aa Sake, Ki Gunche Khil To Sake Khil Ke Muskura Na Sake; Meri Tabahi Dil Par To Reham Kha Na Saki, Jo Roshani Mein Rahe Roshani Ko Pa Na Sake; Na Jaane Aah! Ki Un Aansuon Pe Kya Guzari, Jo Dil Se Aankh Tak Aaye Mishgaan Tak Aa Na Sake; Rahen Khulus-e-Mohabbat Ke Haadsaat Jahan, Mujhe To Kya Mere Naqsh-e-Kadam Mita Na Sake; KarenNge Mar Ke Baqa-e-Dawaam Kya Hasil, Jo Zindaa Reh Ke Muqaam-e-Hayat Pa Na Sake; Naya Zamanaa Banane Chale The Deewane, Nayi Zameen, Naya Aasmaan Bana Na Sake! |
Kasam Hai Aapke... Kasam Hai Aapke Har Roz Rooth Jaane Kee; Ki Ab Hawas Hai Ajal Ko Gale Lagane Kee; Wahan Se Hai Meri Himmat Kee Ibtidaa Allah; Jo Intiha Hai Tere Sabr Aazmane Kee; Phoonka Hua Hai Mere Aashiyan Ka Har Tinka; Falak Ko Khoo Hai To Hai Bijliyan Girane Kee; Hazaar Baar Hui Go Malalegul Se Dochaar; Kalee Se Khoo Na Gayi Phir Bhi Muskurane Kee; Mere Guroor Ke Maathe Pe Aa Chali Hai Shikan; Badal Rahi Hai To Badle Hawa Zamane Kee; Chiraag-e-Dair-o-Harm Kab Ke Bujh Gaye Ai 'Josh'; Hanoz Shammaa Hai Roshan Sharab Khaane Kee! |
Kasam Hai Aapke Kasam Hai Aapke Har Roz Rooth Jaane Kee; Ki Ab Hawas Hai Ajal Ko Gale Lagane Kee; Wahan Se Hai Meri Himmat Kee Ibtidaa Allah; Jo Intiha Hai Tere Sabr Aazmane Kee; Phoonka Hua Hai Mere Aashiyan Ka Har Tinka; Falak Ko Khoo Hai To Hai Bijliyan Girane Kee; Hazaar Baar Hui Go Malalegul Se Dochaar; Kalee Se Khoo Na Gayi Phir Bhi Muskurane Kee; Mere Guroor Ke Maathe Pe Aa Chali Hai Shikan; Badal Rahi Hai To Badle Hawa Zamane Kee; Chiraag-e-Dair-o-Harm Kab Ke Bujh Gaye Ai 'Josh'; Hanoz Shammaa Hai Roshan Sharab Khaane Kee! |