Dushmanon Se Pyaar Hota Jayega; Doston Ko Aazmate Jaiye! |
Wahi Phir Mujhe Yaad Aane Lage Hain; Jinhe Bhoolne Mein Zamane Lage Hain! |
Bhoolein Hain Rafta-Rafta Unhein Muddaton Mein Hum; Kishton Mein Khudkushi Ka Maza Hum Se Puchiye! Rafta-Rafta: Very Slowly Muddat: Time Kisht: Installment Khudkushi: Suicide |
Ek Pal Mein Ek Sadi Ka Maza Humse Puchiye, Do Din Kee Zindagi Ka Maza Humase Puchiye; Bhoole Hai Raftaa-Raftaa Unhe Muddaton Mein Hum, Kishto Mein Khudkushi Ka Maza Humse Puchiye; Aagaaz-e-Aashiqui Ka Maza Aap Jaaniye, Anzaam-e-Aashiqui Ka Maza Humse Puchiye; Jalte Diyo Mein Jalte Gharon Jaisi Lau Kahan, Sarkaar Roshani Ka Maza Humase Puchiye; Wo Jaan Hi Gaye Ki Humein Unse Pyaar Hai, Aankhon Kee Mukhbari Ka Maza Humse Puchiye; Hansne Ka Shaunk Humko Bhi Tha Aap Kee Tarah! |
Kahin Sher-o-Nagma Ban Ke Kahin Aansuon Mein Dhal Ke, Wo Mujhe Mile To Lekin Kai Surtein Badal Ke! |
Hum Bhi Kar Le Jo Roshni Ghar Mein, Phir Andhere Kahan Kayam Kare! |
Wo Khafa Hain To Koi Baat Nahi, Ishq Mohtaaj-e-Iltfhaq Nahi; Dil Bujha Ho Agar To Din Bhi Hai Raat Nahi, Din Ho Roshan To Raat Raat Nahi; Dil-e-Saaki Main Todu-e-Vaail, Ja Mujhe Khwahish-e-Najaat Nahi; Aisi Bhuli Hai Qaynaat Mujhe, Jaise Main Jisb-e-Qaynaat Nahi; Peer Kee Basti Ja Rahi Hai Magar, Sabko Ye Veham Hai Ki Raat Nahi; Mere Layak Nahi Hayaat 'Khumar'; Aur Main Layak-e-Hayaat Nah! |
Na Haara Hai Ishq Na Duniya Thaki Hai; Diya Jal Raha Hai Hawa Chal Rahi Hai; Sukoon Hi Sukoon Hai Khushi Hi Khushi Hai; Tera Gham Salamat Mujhe Kya Kami Hai! |
Bhule Hain Rafta Rafta Unhen Muddaton Mein Hum; Kishton Mein Khud-Kushi Ka Maza Humse Puchiye! |
Aisa Nahi Ki Unse Mohabbat Nahi Rahi; Jazbaat Mein Wo Pehli Si Shiddat Nahi Rahi; Sar Mein Wo Intezar Ka Saudaa Nahi Raha; Dil Par Wo Dhadkano Kee Hukuumat Nahi Rahi! |