Kya Kahun Tum Se Main Kya Kahun Tum Se Main Ki Kya Hai Ishq; Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq; Ishq Hi Ishq Hai Jahan Dekho; Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq; Ishq Mashook Ishq Aashiq Hai; Yani Apna Hi Mubtala Hai Ishq; Kaun Maksad Ko Ishq Bin Pahuncha; Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq; Mir Ji Zarad Hote Jaate Hain; Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq! |
Baare Duniya Mein Raho Gham-Zada Ya Shaad Raho; Aisa Kuch Kar Ke Chalo Yahan Ki Bahut Yaad Raho! |
Aa Jayen Hum Nazar To Aa Jayen Hum Nazar To Koi Dum Bahut Hai Yan; Mohlat Basan-e-Barq-o-Sharar Kam Bahut Hai Yan; Yak Lahza Sina Kobi Se Fursat Humein Nahin; Yani Ki Dil Ke Jane Ka Matam Bahut Hai Yan; Hum Rah Rawan-e-Rah-e-Fana Der Rah Chuke; Waqfa Basan-e-Subh Koi Dam Bahut Hai Yan; Hasil Hai Kya Siwaye Tarai Ke Dehar Mein; Uth Aasman Tale Se Ke Shabnam Bahut Hai Yan; Mere Hilak Karne Ka Gum Hai Bas Tumhein; Tum Shad Zindagani Karo Gum Bahut Hai Yan; Shayad Ke Kam Subh Tak Apna Khinchena 'Mir'; Ahawal Aaj Sham Se Darham Bahut Hai Yan! |
Aa Jayen Ham Nazar Aa Jayen Ham Nazar Jo Koi Dam Bahut Hai Yan; Mohlat Basan-e-Barq-o-Sharar Kam Bahut Hai Yan; Yak Lahza Sina Kobi Se Fursat Hamein Nahin; Yani Ki Dil Ke Jane Ka Matam Bahut Hai Yan; Ham Rah Rawan-e-Rah-e-Fana Der Rah Chuke; Waqfa Basan-e-Subh Koi Dam Bahut Hai Yan; Hasil Hai Kya Siwaye Tarai Ke Dahar Mein; Uth Asman Tale Se Ke Shabnam Bahut Hai Yan; Is Butkade Mein Mani Ka Kis Se Karen Sawal; Adam Nahin Surat-e-Adam Bahut Hai Yan; Ajaz-e-Isawi Se Nahin Bahs Ishq Mein; Teri Hi Bat Jan-e-Mujassim Bahut Hai Yan; Mere Hilak Karne Ka Gam Hai Abas Tumhen; Tum Shad Zindagani Karo Gam Bahut Hai Yan; Shayad Ke Kam Subh Tak Apana Khinchena Mir; Ahawal Aj Sham Se Darham Bahut Hai Yan! |
Kya Kahun Tum Se Kya Kahun Tum Se Main Ke Kya Hai Ishq; Jaan Ka Rog Hai, Bala Hai Ishq; Ishq Hi Ishq Hai Jahaan Dekho; Saare Aalam Mein Bhar Raha Hai Ishq; Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai; Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq; Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen; Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq; Kaun Maqsad Ko Ishq Bin Pohuncha; Aarzoo Ishq Wa Mudda Hai Ishq; Koi Khwaahan Nahin Mahabbat Ka; Tu Kahe Jins-e-Narawa Hai Ishq; Mir Ji Zarad Hote Jaate Hain; Kya Kahin Tum Ne Bhi Kiya Hai Ishq! |
Ab Kar Ke Faramosh To Na'shaad Karo Ge; Per Hum Jo Na Hon Ge To Bahut Yaad Karo Ge! Translation: Na'shaad = Cheerless |
Sharminda Hon Ge, Jaaney Bhi Do Imtihaan Ko; Rakhe Ga Tum Ko Kon Aziz, Apni Jaan Se! |
Zulmat-e-Shab Ko Sitaaron Zulmat-e-Shab Ko Sitaaron Se Sanwaara Hum Ne; Kitni Raton Ko Tujhe Uthe Ke Pukara Hum Ne; Jab Kabhi Hath Se Umeed Ka Daaman Choota; Le Liya Aap Ke Daaman Ka Sahara Hum Ne; Yoon To Dunya Bhi Mukhaalif Hai Hamari Warna; Rukh Badaltey Huye Dekha Hai Tumhara Hum Ne; Hum Zamaney Se Bhi Takraa Gaye Teri Khaatir; Jo Na Karna Tha Kiya Woh Bhi Ganwaara Hum Ne; Ae Taqi, Gham Nahin Yeh Jaan Rahe Ya Na Rahe; Paa Liya Un Nighaaon Ka Ishaara Hum Ne! |
Zakhm Jhele Daagh Zakhm Jhele Daagh Bhii Khaaye Bohat; Dil Lagaa Kar Ham To Pachhtaaye Bohat; Dair Se Suu-e-Haram Aaya Na Tuk; Ham Mizaaj Apnaa Idhar Laaye Bohat; Phuul, Gul, Shams-o-Qamar Saare Hii The; Par Hamen Unmen Tum Hii Bhaaye Bohat; Gar Bukaa Is Shor Se Shab Ko Hai To; Rovenge Sone Ko Hamsaaye Bohat; Miir Se Puuchha Jo Main Aashiq Ho Tum; Ho Ke Kuchh Chupke Se Sharmaaye Bohat! |
Ab Jo Ik Hasrat-E-Jawani Hai; Umr-E-Rafta Ki Ye Nishani Hai; Khak Thi Maujzan Jahan Mein, Aur; Ham Ko Dhoka Ye Tha Ke Pani Hai! |