Mohammed Ibrahim Zauq Shayari

  • Jab Tak Mile Na The Judaai Ka Tha Malaal;<br/>
Ab Ye Malaal Hai Ki Tamanna Nikal Gayi!
Upload to Facebook
    Jab Tak Mile Na The Judaai Ka Tha Malaal;
    Ab Ye Malaal Hai Ki Tamanna Nikal Gayi!
    ~ Mohammed Ibrahim Zauq
  • Shabab Ki Baaten

    Waqt-e-Peeri Shabab Ki Baaten;
    Aisi Hain Jaise Khwab Ki Baatein;
    Phir Mujhe Le Chala Udhar, Dekho;
    Dil-e-Khana Kharab Ki Baaten;
    Sunten Hai Use Chher Chher Ke Hum;
    Kis Maze Se Itaab Ki Baaten;
    Mujh Ko Ruswa Karegi Khub, Ai Dil;
    Yeh Teri Iztaraab Ki Baaten;
    Jaao Hota Hai Aur Bhi Khafqaan;
    Sun Ke Naaseh Janab Ki Baaten;
    Zikar Kya Josh-e-Ishq Mein, Ai Zauq;
    Hum Se Hon Sabar-o-Taab Ki Baaten!

    Translation:
    Waqt-e-Peeri = Hoary Age
    Dil-e-Khana = Rootless Heart
    Sabar-o-Taab = Crazed
    ~ Mohammed Ibrahim Zauq
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT