Raag Bajta Hai Rang Bajta Hai; Pyaar Ka Ang Ang Bajta Hai; Aap Jab Hansti Hain Janab-e-Wala Hazoor-e-Wali; Aise Lagta Hai Ki Rooh Ka Jal Tarang Bajta Hai! |
Paani Ki Boond Kahin Tikti Nahi; Imandari Guru Mujhe Kahin Dikhti Nahi; Kharidaron Kee Mandi Mein Khada Hai Siddhu; Jitni Marzi Boli Laga, Kuch Cheezein Aisi Jo Bikti Nahi! |
Usoolon Pe Aanch Aaye Toh Takrana Zaroori Hai; Aur Zinda Ho Toh Zinda Nazar Aana Zaroori Hai! |
Haadson Ke Shehar Mein Haadson Se Darta Hai; Mitti Ka Khilona Hai Fanaa Hone Se Darta Hai; Mere Dil Ke Kone Mein Masoom Sa Bachha; Bado Ki Dekh Ke Ye Duniya, Bada Hone Se Darta Hai! |
Andhera Bahut Ab Suraj Nikalna Chahiye; Jaise Bhi Ho Yeh Mausam Badalna Chahiye; Aur Jo Chehre Roz Badalte Hai Naqabo Ki Tarah; Ab Janaza Dhoom Se Unka Nikalna Chahiye! |