Log Kehte Hain Raat Beet Chuki, Mujh Ko Samjhao Main Sharabi Hun; Hai Dua Yaad Magar Harf-e-Dua Yaad Nahi, Mere Naghmat Ko Andaaz-e-Nava Yaad Nahin! *Harf-e-Dua: Words of prayers *Andaaz-e-Nava: Style of voice |
Jis Ahd Mein Lut Jaye Faqeeron Ki Kamai, Us Ahd Ke Sultan Se Kuch Bhool Hui Hai; Ai Adam Ke Musafiro Hoshiyar, Raah Mein Zindagi Khadi Hogi! |
Taaron Se Mera Jaam Bharo Main Nashe Mein Hun; Ai Sakinaan-e-Khuld Suno Main Nashe Mein Hun; Kuch Phool Khil Rahe Hain Sar-e-Shakh-e-May-Kada; Tum Hi Zara Ye Phool Chuno Main Nashe Mein Hun; Thehro Abhi To Subah Ka Maara Hai Zau-Phishan; Dekho Mujhe Fareb Na Do Main Nashe Mein Hun; Nasha To Maut Hai Gham-e-Hasti Kee Dhoop Mein; Bikhara Ke Zulf Saath Chalo Main Nashe Mein Hun; Mela Yun Hi Rahe Ye Sar-e-Rahguzar-e-Zeest; Ab Jaam Saamne Hi Rakho Main Nashe Mein Hun; Payal Chanak Rahi Hai Nigaar-e-Khayal Kee; Kuch Ehatimaam-e-Raqs Karo Main Nashe Mein Hun; Main Dagmaga Raha Hun Bayabaan-e-Hosh Mein; Mere Abhi Kareeb Raho Main Nashe Mein Hun; Hai Sirf Ek Tabasum-e-Rangeen Bahut Mujhe; 'Saghar' B-Dosh Lala-Rukhon Main Nashe Mein Hun! |
Wo Bulayein To Kya Tamasha Ho; Hum Na Jaayein To Kya Tamasha Ho; Ye Kinaron Se Khelne Wale; Doob Jaayein To Kya Tamasha Ho; Banda Parwar Jo Hum Pe Guzari Hai; Hum Batayein To Kya Tamasha Ho; Aaj Hum Bhi Teri Wafaon Par; Muskurayein To Kya Tamasha Ho; Teri Soorat Jo Itefaaq Se Hum; Bhool Jaayein To Kya Tamasha Ho; Waqt Kee Chand Satein 'Saghar'; Laut Aayein To Kya Tamasha Ho! |
Baat Phoolon Ki Suna Karte The; Hum Kabhi Sher Kaha Karte The; Mashalein Lekar Tumhare Gham Kee; Hum Andheron Mein Chala Karte The; Ab Kahan Aisi Tabiyat Wale; Chot Kha Kar Jo Jiya Karte The; Tark-e-Ehsas-e-Mohabbat Mushkil; Haan Magar Ahl-e-Wafa Karte The; Bikhri Bikhri Hui Zulfon Wale; Kaafile Rok Liya Karte The; Aaj Gulshan Mein Shagufe "Saghar"; Shikwa Ai Baad-e-Sabaa Karte The! |
Tere Daaman Kee Hawa Mangte Hain; Hum Bhi Jeene Kee Dua Mangte Hain; Mutaribo Koi Achuta Nagma; Saaz Aahang-o-Sadaa Mangte Hain; Maah-o-Anjum Ke Jharokhe Aksar; Kisi Ke Aariz Kee Dua Mangte Hain; Phir Patangon Mein Khudayi Jagi; Sholay Hashr-Numa Mangte Hain; Banda-Parwar Koi Khairat Nahi; Hum Wafaon Ka Sila Mangte Hain; Maikada Ho Ke Kaleesa 'Saghir'; Sari Duniya Ka Bhala Mangte Hain! |
Tere Daaman Kee Hawa Mangte Hain; Hum Bhi Jeene Kee Dua Mangte Hain; Mutaribo Koi Achuta Nagma; Saaz Aahang-o-Sadaa Mangte Hain; Maah-o-Anjum Ke Jharokhe Aksar; Kisi Ke Aariz Kee Dua Mangte Hain; Phir Patangon Mein Khudayi Jagi; Sholay Hashr-Numa Mangte Hain; Banda-Parwar Koi Khairat Nahi; Hum Wafaon Ka Sila Mangte Hain; Maikada Ho Ke Kaleesa 'Saghir'; Sari Duniya Ka Bhala Mangte Hain! |
Main Talakhiye Hyaat Se Ghabra Ke Pee Geya; Gham Kee Siyah Raat Se Ghabra Ke Pee Geya; Itni Dakik She Koi Kaise Samajh Sake; Yazdan Ke Vakiyat Se Ghabra Ke Pee Geya! |
Kal Jinhe Chhu Nahin Sakti Thi Farishton Kee Nazar; Aaj Wo Raunaq-e-Bazar Nazar Aate Hain! |
Log Lete Hain Yun Hi Shamma Aur Parwane Ka Naam; Kuch Nahi Hai Is Jahan Mein Ghum Ke Afsane Ka Naam! |