Ye Kya Tilism Hai Kyon Raat Bhar Sisakta Hun; Wo Kaun Hai Jo Diyon Mein Jala Raha Hai Mujhe! |
Wahi Aankhon Mein Aur Aankhon Se Poshidaa Bhi Rehta Hai; Meri Yaadon Mein Ek Bhula Hua Chehra Bhi Rehta Hai; Jab Us Kee Sard-Mehari Dekhta Hun Bujhne Lagta Hun; Mujhe Apni Adakari Ka Andaza Bhi Rehta Hai; Main Un Se Bhi Mila Karta Hun Jin Se Dil Nahi Milta; Magar Khud Se Bichhad Jane Ka Andesha Bhi Rehta Hai; Jo Mumkin Ho To Pur-Asraar Duniyaon Mein Dakhil Ho; Ki Har Deewar Mein Ek Chor Darwaza Bhi Rehta Hai; Bas Apni Be-Basi Kee Saatvi Manzil Mein Zinda Hun; Yahan Par Aag Bhi Rehti Hai Aur Nauha Bhi Rehta Hai! |
Raat Apne Khwab Kee Keemat Ka Andaza Hua; Ye Sitara Neend Kee Tehzeeb Se Paida Hua; Zehan Kee Zarakhez Mitti Se Naye Chehre Uge; Jo Meri Yaadon Mein Zinda Hai Saraseema Hua; Meri Aankhon Mein Anokhe Zurm Kee Tazveez Thi; Sirf Dekha Tha Use Us Ka Badan Maila Hua; Wo Koi Khushbu Hai Meri Saans Mein Behti Hui; Main Koi Aansu Hun Us Kee Rooh Mein Girta Hua; Us Ke Milne Aur Bichad Jane Ka Manzar Ek Hai; Kaun Itne Fansalon Mein Be-Hijaab Aisa Hua! |