Dil Ki Barbaadiyon Pe Naajaa Hun; Fateh Pa Kar Shikast Khayi Hai! |
Dil Ki Barbaadiyon Pe Naajaa Hun; Fateh Paa Kar Shikast Khayi Hai! |
Chahiye Khud Pe Yakeen-e-Kamil; Haunsla Kis Ka Badhata Hai Koi! |
Ai Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya; Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya; Yun To Har Shaam Umeedon Mein Guzar Jati Hai; Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya; Kabhi Taqdeer Ka Maatam Kabhi Duniya Ka Gila; Manzil-e-Ishq Mein Har Ghum Pe Rona Aaya; Mujh Pe Hi Khatam Hua Silsila-e-Nauhagari; Is Kadar Gardish-e-Ayyam Pe Rona Aaya; Jab Hua Zikar Zamane Mein Mohabbat Ka "Shakeel"; Mujh Ko Apne Dil-e-Nakaam Pe Rona Aaya! |
Aankh Se Aankh Aankh Se Aankh Milata Hai Koi; Dil Ko Khinche Liye Jata Hai Koi; Va-e-Hairat Ke Bhari Mehfil Mein; Mujh Ko Tanha Nazar Aata Hai Koi; Chahiye Khud Pe Yakeen-e-Kaamil; Haunsla Kis Ka Badhata Hai Koi; Sab Karishmat-e-Tasavur Hai 'Shakeel'; Varna Aata Hai Na Jata Hai Koi! |
Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Un Kee Yaad; Dard Ban Kar Chaa Rahi Hai Un Kee Yaad; Ishq Se Ghabra Rahi Hai Un Kee Yaad; Rukte-Rukte Aa Rahi Hai Un Kee Yaad; Wo Hanse Wo Zer-e-Lab Kuch Keh Uthe; Khwab Se Dikhla Rahi Hai Un Kee Yaad; Main To Khudari Ka Qayal Hun Magar; Kya Karun Phir Aa Rahi Hai Un Kee Yaad; Ab Khyal-e-Tark-e-Rabt Zabt Hi Se Hai; Khud B Khud Sharma Rahi Hai Un Kee Yaad! |
Ai Mohabbat Tere Anjaam Pe Rona Aaya; Jaane Kyon Aaj Tere Naam Pe Rona Aaya; Yun To Har Shaam Umeedon Mein Guzar Jati Hai; Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya; Kabhi Taqdeer Ka Maatam Kabhi Duniya Ka Gila; Manzil-E-Ishq Mein Har Gham Pe Rona Aaya; Mujh Pe Hi Khatam Hua Silsila-e-Nauhagri; Is Kadar Gardish-e-Ayyam Pe Rona Aaya; Jab Hua Zikar Zamaane Mein Mohabbat Ka 'Shakeel'; Mujh Ko Apne Dil-e-Naqaam Pe Rona Aaya! |
Shayad Aaghaz Hua Phir Shayad Aaghaz Hua Phir Kisi Afsane Ka; Hukm Aadam Ko Hai Jannat Se Nikal Jane Ka; Un Se Kuch Keh To Raha Hun Magar Allah Na Kare; Wo Bhi Mafhoom Na Samjhe Mere Afsane Ka; Dekhna Dekhna Yeh Hazrat-e-Vaiz Hi Na Hon; Raasta Puch Raha Hai Koi Maikhane Ka; Betalluq Tere Aage Se Guzar Jata Hun; Yeh Bhi Ek Husn-e-Talab Hai Tere Deewane Ka; Hashr Tak Garmi-e-Hungama-e-Hasti Hai 'Shakeel'; Silsila Khatm Na Hoga Mere Afsane Ka! |
Dil Ke Behlane Kee Tadbeer To Hai; Tu Nahi Hai Teri Tasveer To Hai; Humsafar Chhod Gaye Mujh Ko To Kya; Saath Mere Meri Taqdeer To Hai! |
Ye Aish-o-Tarab Ke Matwale Ye Aish-o-Tarab Ke Matwale Bekar Kee Baatein Karte Hain; Payal Ke Gamon Ka Ilm Nahi Jhankar Kee Baatein Karte Hain; Nahak Hai Hawas Ke Bandon Ko Nazara-e-Fitrat Ka Dawa; Aankhon Mein Nahi Hai Betabi Deedar Kee Baatein Karte Hain; Kehte Hain Unhi Ko Dushman-e-Dil Naam Unhi Ka Naseh Bhi; Wo Log Jo Reh Kar Sahil Par Majhdhar Kee Baatein Karte Hain; Pahunche Hain Jo Apni Manzil Par Un Ko To Nahi Kuch Naz-e-Safar; Chalne Ka Jinhe Maqdur Nahi Raftaar Kee Baatein Karte Hain! |