Wasim Barelvi Shayari

• Dukh Apna Agar Ham Ko Batana Nahi Aata,

Tum Ko Bhi To Andaza Lagana Nahin Aata! Upload to Facebook
Dukh Apna Agar Ham Ko Batana Nahi Aata,
Tum Ko Bhi To Andaza Lagana Nahin Aata!
~ Wasim Barelvi
• Raat To Waqt Ki Paaband Hai Dhal Jaayegi;

Dekhna Yeh Hai Charaagon Ka Safar Kitna Hai!

Paaband: RestrictedUpload to Facebook
Raat To Waqt Ki Paaband Hai Dhal Jaayegi;
Dekhna Yeh Hai Charaagon Ka Safar Kitna Hai!

Paaband: Restricted
~ Wasim Barelvi
• Zameen Ki Kaisi Vakalat Ho Phir Nahi Chalti;

Jab Aasmaan Se Koi Faisala Utarta Hai!

Vakalat: Advocacy

Faisala: DescisionUpload to Facebook
Zameen Ki Kaisi Vakalat Ho Phir Nahi Chalti;
Jab Aasmaan Se Koi Faisala Utarta Hai!

Vakalat: Advocacy
Faisala: Descision
~ Wasim Barelvi
• Safar Pe Aaj Wahi Kashtiyan Nikaltein Hain;

Jinhe Khabar Hai Hawayein Bhi Tez Chalti Hain!

Kashtiyan: BoatsUpload to Facebook
Safar Pe Aaj Wahi Kashtiyan Nikaltein Hain;
Jinhe Khabar Hai Hawayein Bhi Tez Chalti Hain!

Kashtiyan: Boats
~ Wasim Barelvi
• Ye Ehtiyaate Mohabbat:

Ye Ehtiyaate Mohabbat Toh Jee Nahi Jaati,
Ki Teri Baat Tujhi Se Kahi Nahi Jaati;

Teri Nigaah Bhi Kaisi Ajab Kahani Hai,
Mere Alawa Kisi Se Padhi Nahi Jaati;

Tujhe Pata Bhi Hai Suraj Tere Ilaake Mein,
Kahin-Kahin Toh Kabhi Roshni Nahi Jaati;

Ajab Mizaj Hai In Khandani Logon Ka,
Tabaah Ho Ke Bhi Dariya Dili Nahi Jaati!
~ Wasim Barelvi
• Main Iss Ummeed Pe Dooba Ki Tu Bacha Lega:

Main Iss Ummeed Pe Dooba Ki Tu Bacha Lega,
Ab Iske Baad Mera Imtihaan Kya Lega;

Yeh Ek Mela Hai Vaada Kisi Se Kya Lega,
Dhalegaa Din Toh Har Ek Apna Raasta Lega;

Main Bujh Geya Toh Hamesha Ko Bujh Hi Jaaunga,
Koi Chiraag Nahi Hun Ki Phir Jalaa Lega;

Kaleja Chahiye Dushman Se Dushmani Ke Liye,
Jo Be-Amal Hai Woh Badla Kisi Se Kya Lega;

Main Uska Ho Nahi Sakta Bata Na Dena Use,
Sunegaa Toh Lakeeren Haath Ki Apni Woh Jalaa Lega;

Hazaar Tod Ke Aa Jaaun Us Se Rishta 'Wasim',
Main Jaanta Hun, Woh Jab Chahega, Bula Lega!
~ Wasim Barelvi
• Aasmaan Itni Bulandi Pe Jo Itraataa Hai;

Bhool Jata Hai Zameen Se Hi Nazar Aataa Hai!Upload to Facebook
Aasmaan Itni Bulandi Pe Jo Itraataa Hai;
Bhool Jata Hai Zameen Se Hi Nazar Aataa Hai!
~ Wasim Barelvi
• Kahaan Tak Aankh Roegi Kahaan Tak Kiska Gham Hoga,
Mere Jaisa Yahan Koi Na Koi Roz Kam Hoga;

Tujhe Paane Kee Koshish Mein Kuch Itna Ro Chuka Hun Main,
Ki Tu Mil Bhi Agar Jaye To Ab Milne Ka Gham Hoga;

Samandar Kee Galatfehmi Se Koi Puch To Leta,
Zameen Ka Haunsala Kya Aise Toofaano Se Kam Hoga;

Mohabbat Naapne Ka Koi Paimana Nahi Hota,
Kahin Tu Badh Bhi Sakta Hai, Kahin Tu Mujh Se Kam Hoga!
~ Wasim Barelvi
• Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai,
Samandaron Hi Ke Lehje Mein Baat Karta Hai;
Khuli Chhaton Ke Diye Kab Ke Bujh Gaye Hote,
Koi To Hai Jo Hawaon Ke Par Qatarta Hai;
Ye Dekhna Hai Ki Sehra Bhi Hai Samandar Bhi,
Wo Meri Tashna-Labi Kis Ke Naam Karta Hai!
~ Wasim Barelvi
• Aaj Pee Lene De Jee Lene De Mujhko Saqi;

Kal Meri Raat Khuda Jaane Kahan Guzregi!Upload to Facebook
Aaj Pee Lene De Jee Lene De Mujhko Saqi;
Kal Meri Raat Khuda Jaane Kahan Guzregi!
~ Wasim Barelvi
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT