Ab Ke Is Bazm Mein Kuch Apna Pata Bhi Dena; Paanv Par Paanv Jo Rakhna To Daba Bhi Dena! |
Thakna Bhi Lazmi Tha Kuch Kaam Karte Karte; Kuch Aur Thak Gaya Hun Aaram Karte Karte! |
Ab Wahi Karne Lage Deedar Se Aage Ki Baat; Jo Kabhi Kehte The Bas Deedar Hona Chahiye! |
Baat Karni Mushkil: Baat Karni Mushkil Kabhi Aisi Toh Na Thi, Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aaisi Toh Na Thi; Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar, Be-Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aaisi Toh Na Thi; Teri Aankhon Mein Khudaa Jane Kya-Kya Jaadu, Ki Tabiyat Meri Mayal Kabhi Aaisi Toh Na Thi; Kya Sbab Tu Jo Bigarta Hai 'Zafar' Se Har Baar, Kho Teri Hoor Shamil Kabhi Aaisi Toh Na Thi! |
Yoon Bhi Hota Hai Ki Yak Dam Koi Achha Lag Jaye; Baat Kuch Bhi Na Ho Aur Dil Mein Tamasha Lag Jaye! |
Kab Woh Zahir Hoga Aur Hairan Kar Dega Mujhe; Jitni Bhi Mushkil Mein Hun Aasan Kar Dega Mujhe; Roo-b-Roo Kar Ke Kabhi Apne Mehakte Surkh Honth; Ek Do Pal Ke Liye Guldaan Kar Dega Mujhe! |
Koi Soorat Nikalti Kyon Nahi Hai; Yahan Halat Badalti Kyon Nahi Hai; Ye Bujhta Kyon Nahi Hai Unka Sooraj; Hamari Shama Jalti Kyon Nahi Hai; Agar Hum Jhel Hi Baithe Hain Isko; To Phir Ye Raat Dhalti Kyon Nahi Hai; Mohabbat Sar Ko Chadh Jati Hai, Aksar; Mere Dil Mein Machalti Kyon Nahi Hai! |
Usi Se Aaye Hain Aashob Aasman Wale; Jise Gubaar Samajhate The Karavan Wale; Main Apni Dhun Mein Yahan Aandhiyan Uthata Hun; Magar Kahan Wo Maze Khaak-e-Aashiyan Wale; Mujhe Diya Na Kabhi Mere Dushmano Ka Pata; Mujhe Hawa Se Ladhate Rahe Jahan Wale; Mere Saraab-e-Tamanna Pe Rashk Tha Jin Ko; Bane Hain Aaj Wahi Bahar-e-Be-Karaan Wale; Main Nala Hun Mujhe Apne Labon Se Door Na Rakh; Mujhi Se Zinda Hai Tu Mere Jism-o-Jaan Wale; Ye Musht-e-Khaak 'Zafar' Mera Pairahan Hi Tu Hai; Mujhe Zameen Se Darayein Na Kehakashan Wale! |
Bewafai Karke Niklun Ya Wafa Kar Jaunga; Shehar Ko Har Zaike Se Aashna Kar Jaunga; Tu Bhi Dhoondega Mujhe Shauq-e-Saza Mein Ek Din; Main Bhi Koi Khoobsurat Si Khata Kar Jaunga! |
Koi Soorat Koi Soorat Nikalti Kyon Nahi Hai; Yahan Halat Badalti Kyon Nahi Hai; Ye Bujhta Kyon Nahi Hai Unka Sooraj; Hamari Shama Jalti Kyon Nahi Hai; Agar Hum Jhel Hi Baithe Hain Isko; To Phir Ye Raat Dhalti Kyon Nahi Hai; Mohabbat Sar Ko Chadh Jati Hai, Aksar; Mere Dil Mein Machalti Kyon Nahi Hai! |