Bewaafa Tum Ho To Wafadaar Hum Bhi Nahi; Besharam Tum Ho To Sharamsar Hum Bhi Nahi; Pyaar Ke Iss Maud Par Kehte Ho Ke Shadishuda Ho; To Kya Hua Darling, Kunware Hum Bhi Nahi! |
Na Jaane Wo Humse Kya Chhupati Thi; Kuch Tha Zaroor Uske Payyare Se Hontho Pe; Magar Na Jaane Kyon Humse Sharmati Thi; Jab Munh Khulwaya Tab Jakar Maloom Huya; Saali Chup-Chup Paan Masala Chabati Thi! |
Mere Dost Tum Bhi Likha Karo Shayari; Tumhara Bhi Meri Tarah Naam Ho Jayega; Jab Tum Par Bhi Padenge Ande Aur Tamatar; To Shaam Ki Sabji Ka Intajaam Ho Jayega! |
Na Jaane Kab Koi Taara Toot Jaaye; Na Jaane Kab Koi Aansu Aankh Se Chhoot Jaaye; Kuch Pal Hamare Saath Bhi Has Lo; Na Jaane Kab Tumhare Daant Toot Jaaye! |
Hum Aaj Bhi Dil Ka Aashiyana Sajane Se Darte Hain; Baagon Mein Phool Khilane Se Darte Hain; Hamari Ek Pasand Se Tut Jaayeinge Hazaaro Dil; Tabhi Toh Hum Aaj Bhi Girlfriend Bananey Se Darte Hain! |
Socha Tha Har Modd Par Tumhara Intezar Karenge; Gaur Farmaiye: Socha Tha Har Modd Par Tumhara Intezar Karenge; Magar Kambakhat Saali Sadak Hi Seedhi Nikli! |
Tumhari Adaon Pe Main Vari-Vari; Tumhari Adaon Pe Main Vari-Vari; Kya Udhar Light Aa Ri? Idhar Toh Aa Ri - Ja Ri, Aa Ri - Ja Ri! |
Teri Yaad Mein Humne Kalam Uthaayi; Liya Paper Aur Tasveer Aapki Banayi; Socha Tha Ki Usko Dil Se Laga Kar Rakhenge; Magar Wo Toh Bacho Ko Draane Ke Kaam Aayi! |
Umeedon Ki Manzil Toot Gayi; Aankho Se Ashqo Ki Dhara Beh Gayi; Arre Tumhari Bhi Kya Ijjat Reh Gayi; Jab Class Main Ladki Bhaiya Keh Gayi! |
Zaamane Ke Dar Se Teri Tasveer Toilet Mein Chhupa Rakhi Hai; Deedar Ho Tera Bar-Bar, Iss Liye Julab Ki Goli Kha Rakhi Hai! |