Dard Shayari

• Haath Khali Hain Tere Shehar Se Jaate Jaate;

Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jaate;

Ab To Har Haath Ka Pathar Humein Pehchanta Hai;

Umar Guzri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate!Upload to Facebook
Haath Khali Hain Tere Shehar Se Jaate Jaate;
Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jaate;
Ab To Har Haath Ka Pathar Humein Pehchanta Hai;
Umar Guzri Hai Tere Shehar Mein Aate Jaate!
~ Rahat Indori
• Dil Se Na Pucho Ki Ander Dard Kitna Hai;
Dhadkan Se Na Pucho Ki Baki Khel Kitna Hai;
Puchna Hi Hai To Jalti Hui Laash Se Pucho;
Zindagi Mein Gham Aur Kafan Mein Chain Kitna Hai!
• Ye Kya Jaane Mein Jana Hai, Jaate Ho Khafaa Hokar;

Main Tab Janu Mere Dil Se Chale Jao Juda Hokar;

Qayamat Tak Udegi Dil Se Uthkar Khaak Aankhon Tak;

Isi Raaste Geya Hai Hasraton Ka Kafila Hokar!Upload to Facebook
Ye Kya Jaane Mein Jana Hai, Jaate Ho Khafaa Hokar;
Main Tab Janu Mere Dil Se Chale Jao Juda Hokar;
Qayamat Tak Udegi Dil Se Uthkar Khaak Aankhon Tak;
Isi Raaste Geya Hai Hasraton Ka Kafila Hokar!
~ Seemab Akbarabadi
• Kitna Ajeeb Apni Zindagi Ka Yeh Safar Nikla;

Saare Jahaan Ka Dard Apna Muqaddar Nikla;

Jiske Naam Apni Zindagi Ka Har Lamha Kar Diya;

Afsos Wahi Hamari Chahat Se Bekhabar Nikla!Upload to Facebook
Kitna Ajeeb Apni Zindagi Ka Yeh Safar Nikla;
Saare Jahaan Ka Dard Apna Muqaddar Nikla;
Jiske Naam Apni Zindagi Ka Har Lamha Kar Diya;
Afsos Wahi Hamari Chahat Se Bekhabar Nikla!
• Kahun Kis Se Main Ki Kya Hai, Shab-e-Gham Buri Bala Hai;
Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota;
Hue Mar Ke Jo Hum Ruswa, Hue Kyon Na Gharq-e-Dariya;
Na Kabhi Janaza Uthta Na Kahin Mazaar Hota!

Translation:
To whom can I even explain, the dark night of sepration,
What had I against death if only it did not come again and again.
Being so humiliated in death, why did I not drown instead,
Then there would be no funeral, no one required to mourn at my tomb.
~ Mirza Ghalib
• Yeh Kahan Kee Dosti Hai Ki Bane Hain Dost Naasih;
Koi Chaarasaaz Hota Koi Ghamgusar Hota;
Rang-e-Sang Se Tapkta Woh Lahu Ki Phir Na Thamta;
Jise Gham Samajh Rahe Ho Yeh Agar Sharaar Hota!

Translation:
What kind of friendship, my friends have turned to be preaching,
No one brings solutions, no one brings comapssion.
The veined stone has burst into an incessant flow of blood,
When touched by the ember which you think is merely my grief.
~ Mirza Ghalib
• Koi Mere Dil Se Pooche Tere Teer-e-Nim Kash Ko;
Yeh Khalish Kahan Se Hoti Jo Jigar Ke Paar Hota!

Translation:
Ask my heart about your half-drawn bow,
This anguish would not arise had the arrow passed through my body.
~ Mirza Ghalib
• Zindagi Kee Rah Mein Raaste Badal Jate Hain;

Waqt Kee Aandhi Mein Insan Badal Jate Hain;

Sochte Hain Tumhein Itna Yaad Na Karein Lekin;

Aankh Band Karte Hi Irade Badal Jate Hain!Upload to Facebook
Zindagi Kee Rah Mein Raaste Badal Jate Hain;
Waqt Kee Aandhi Mein Insan Badal Jate Hain;
Sochte Hain Tumhein Itna Yaad Na Karein Lekin;
Aankh Band Karte Hi Irade Badal Jate Hain!
• Barish Hui To Phulon Ke Tan Chaak Ho Gaye;
Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye;
Badal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Kee Chaah Mein;
Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye!
~ Parveen Shakir
• Har Zakhm Kisi Thokar Kee Meharbani Hai;

Meri Zindagi Bas Ek Kahani Hai;

Mita Dete Sanam Ke Dard Ko Seene Se;

Par Ye Dard Hi Uski Akhiri Nishani Hai!Upload to Facebook
Har Zakhm Kisi Thokar Kee Meharbani Hai;
Meri Zindagi Bas Ek Kahani Hai;
Mita Dete Sanam Ke Dard Ko Seene Se;
Par Ye Dard Hi Uski Akhiri Nishani Hai!
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT