Tu Khush Rahe To Main Muskuraunga; Kahin Bhi Ho Tu, Tujhe Na Bhula Paunga; Mere Gham Ka Tu Dard Na Lena; Kyonki Iss Dard Mein Bhi Main Sukun Paunga! |
Tere Naam Ki Thi Joh Roshni Use Khud Hi Tum Ne Bujha Diya; Na Jala Saki Jise Dhoop Bhi, Use Chandni Ne Jala Diya; Hun Gardishon Mein Ghira Hua, Mujhe Ab Apni Khabar Nahi; Wo Jo Shaqs Tha Mera Rehnuma, Use Raaston Mein Hi Ganwa Diya! |
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jate Hain; Akele The Hum, Akele Hi Reh Jate Hain; Ab Apne Dil Ka Dard Hum Kise Dikhayein; Kyonki Marham Lagane Wale Hi Ab Zakhm De Jate Hain! |
Nadaan Ho Jo Kehte Ho Ki Kyon Jeete Ho Ghalib; Kismat Mein Hai Marne Kee Tamanna Koi Din Aur! Translation: Ignorant are the ones who ask why Ghalib is still living, My fate is that I should yearn for death until some other day. |
Kis Ko Qatil Main Kahun Kis Ko Masiha Samajhun; Sab Yahan Dost Hi Baithe Hain Kise Kya Samajhun; Wo Bhi Kya Din The Ki Har Veham Yaqeen Hota Tha; Ab Haqeeqat Nazar Aaye To Use Kya Samajhun! |
Jo Nahi Aata Uska Intezar Kyon Hota Hai; Kisi Ke Liye Apna Yeh Haal Kyon Hota Hai; Waise To Iss Duniya Mein Kafi Cheezein Pyaari Hain; Jo Nahi Milta Usi Se Pyaar Kyon Hota Hai! |
Jane Kis Mor Pe Le Aayi Hai Zindagi; Band Hain Dareechey Tamam Na Koi Kinara Dikhai De; Nahi Maloom Ulfat Kee Hai Kaun Si Manzil; Ki Tere Siwa Ab Na Humein Guzara Dikhai De! |
Ai Khuda Kisi Ko Aisi Zindagi Na De; Zindagi De To Yun Bebasi Na De; Dil Mein Rahe Sada Chahtein Yaar Ke Milan Kee; Par Na Ho Sake Mulaqat Unse Aisi Koi Mazboori Na De! |
Mere Marne Ke Baad Kisi Ko Koi Khaas Farq To Nahi Hoga; Bas Ek Tanhayi Royegi Ki Mera Humsafar Chala Geya! |
Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khisht, Dard Se Bhar Na Aaye Kyon; Royenge Hum Hazar Baar Koi Humein Sataye Kyon; Daer Nahi, Haram Nahi, Dar Nahi, Aastaan Nahi; Baithe Hain Rehguzar Pe Hum Gair Humein Uthaye Kyon! Translation: It is only a heart, not stone or mortar, why should it not fill with pain, We will wail a thousand times, why should anyone torment us. It is not a temple, mosque, a dearly beloved's door, nor a patron's entryway, We are wayfarers, why should anyone evict us! |