Giriya Chaahe Hai Kharaabee Mere Kaashaane Ki; Dar-o-Deevaar Se Tapke Hai Bayaabaan Hona! Translation: Giriya = Weeping Kaashaana = House Bayaabaan = Wilderness |
Jab Sath Uska Chaha Tu Sham -o-Sehar Mila; Muj Ko Mere Naseeb Ka Aesa Samar Mila; Thi Zindagi Mai Dhop Ki Chadar Tani Hui; Saya Dia Hai Ishq Ka Aesa Shjar Mila! |
Aa Gaya Hai Farak Uss Ki Nazaron Mein Yakeenan; Aab Woh Mujhe Andaaz Se Nahi, Andaaze Se Pehchante Hai! |
Wo Aaye Ghar Mein Hamare Khuda Ki Kudrat Hai; Kabhi Hum Unko Kabhi Apne Ghar Ko Dekhte Hain! |
Baske Hun Ghalib Asiri Men Bhi Atish Zer Pa; Mue Atish Dida Hai Halqa Meri Zanjir Ka! Translation: Baske = Whereas Atish Zer Pa = Impatient Mue Atish = Heat Damaged Hair Halqa = Ring |
Qatra Mein Dajla Dikhaai Na De, Aur Juzw Mein Kul; Khel Larkon Ka Hua, Deeda-e-Beena Na Hua! Translation: Deeda-e-Beena = Discerning Eye |
Kavkav-e-Sakht Jani Hai Tanhai, Na Puchh; Subh Karna Sham Ka, Lana Hai Ju-e-Shir Ka! Translation: Kavkav = Continuous beating of hard stone with a sharp object Sakht Jani Hai = Ability to bear extreme agony Ju-e Shir Ka = Channel of milk |
Maktab E Ishq Ka Dastor Nirala Dekha; Osko Chutti Na Mile Jisne Sabaq Yad Kiya! |
Woh Tu Milta Hai Mujhse Mehdood Se Lamhon Me Faraz; Yeh Dil Hai Kitni Fursat Se Sochta Hai Useh! |
Mujhe Dard-E-Ishq Ka Maza Maloom Hai; Dard-De-Dil Ki Inteha Maloom Hai; Zindagi Me Kabhi Muskurane Ki Dua Na Dena; Mujhe Pal Bhar Muskurane Ki Saza Maloom Hai! |