Manzil Toh Mil Hi Jayegi Bhatak Kar Hi Sahi; Gumrah Toh Wo Hai, Jo Ghar Se Nikle Hi Nahi! |
Apne Mehboob Ki Khaatir Tha Khuda Ko Manzoor; Warna Quran Bhi Utarta Ba Zabaan-e-Urdu! |
Kya Zauq Hai,Kya Shauq Hai Sau Marataba Dekhun; Phir Bhi Ye Kahoon Jalwa-e-Jaanan Nahin Dekha; Kya Poochte Ho, Kaun Hai? Ye Kis Ki Hai Shohrat; Kya Tumne Kabhi 'Daag' Ka Deewan Nahin Dekha! |
Main Bhi Moonh Mein Zabaan Rakhta Hoon; Kash Poochho Ke Mudda'a Kya Hai! |
Imaan Mujhe Roke Hai Jo Khiche Hai Mujhe Kufr; Ka'aba Mere Peechhe Hai Kaaisa Mere Aage! |
Main Hairaan Hoon Ke Kyon Us Se Huiee Thi Dosti Apni; Mujhe Kaise Gawarah Ho Gayiee Thi Dushmani Apni! |
Raqeebo Ne Rapat Likhwai Hai Jaja Ke Thane Mein; Ke Akbar Naam Leta Hai Khuda Ka Is Zamaane Mein! |
Bikhra Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Hi Tera Wajood; Bekaar Mehfilon Mein Tuje Dundhta Hun Mein! |
Le Gaye Khaak Mein Ham Daagh-e-Tamanna-e-Nishaat; Too Ho Aur Aap Ba-Sad-Rang-e-Gulistaan Hona! Translation: Nishaat (or Nashaat) = Enthusiasm/Happiness Ba-Sad-Rang = Hundred Colours |
Jalva Az_Bas Ki Taqaaza-e-Nigah Karta Hai; Jauhar-e-Aaina Bhee Chaahe Hai Mizhgaan Hona! Translation: Az = From/Then/By Jauhar = Skill/Knowledge Mizhgaan = Eyelid |