Doobty Doobty Kashti Ko Saahil Pe Uchaal Doon Ga; Mein Nahi Koi To Saahil Pe Utar Jaye Ga! |
Khuda Naseeb Kare Un Ko Khushiyan Saari; Adam Woh Log Jo Hum Ko Udaas Rakhte Hain! |
Khudaya Apne Farishtey Na Bhej Duniyaa Mein; Mein Aadmi Hoon Farishton Ke Sath Kese Rahoon! |
Aag Paani Mein Lagane Ka Hunar Seekha Hai; Kaam Mushkil Hai Bohat Hum Ne Magar Seekha Hai; Yeh Jo Chaltay Nazar Aatay Hain Musalsal Hum Log; Kuch To Paanay Ki Talab Hai Jo Safar Seekha Hai! |
Yeh Maza Tha Dil Lagi Ka Ke Barabar Aag Lagti; Na Tujhe Qaraar Hota, Na Mujhe Qaraar Hota! |
Yeh Ajab Soorat-e-Haal Huyi Jati Hai; Raat Ke Baad Yahan Raat Huyi Jati Hai; Woh To Ab Bhi Mukammal Hai Kisi Pathar Ki Tarah; Raizaa Raizaa To Meri Zaat Huyi Jati Hai! |
Nikalna Khuld Say Aadam Ka Sunte Aaye Hain Lakin; Bohat Bayabroo Ho Kar Teray Kochay Say Hum Niklay! Translation: Khuld Say Aadam = Birth of man, from the womb Kochay = Door Bayabroo = Shamelessly |
Unke Dekhne Se Jo Aa Jati He Muhn Per Roneq; Woh Samajte Hain K Beemar Ka Haal Acha Hai! |
Hum Na Hotey To Kisi Aur Ke Charchey Hotey;
Halqat-e-Sheher To Kehne Ko Fasaaney Mangey! Translation: Halqat = Public |
Haaye Zaalim Ne Zara Sa Bhi Takaluf Na Kiya; Hum Ne Chaahi Jo Ijaazat To Ijaazat De Di! |