Aadatan Aa Gaya Hun Maqtal Mein; Mere Kaandhe Pe Ab Toh Sir Bhi Nahi! |
Wohi Wehshat, Wohi Hairat, Wohi Tanhai Hai 'Mohsin'; Teri Aankhein Mere Khawabon Se Kitni Milti Julti Hain! |
Bay Hoodi Rahbar Hoosh Hoti Jaati Hai; Jaane Kya Cheez Faramosh Hui Jaati Hai! |
Apna Ghar Kitna Hi Viraan Ho,Phir Apna Ghar Hai; Bistar-e-Khaak Lage Takht-e-Sulemani Mujh Ko; Jaanta Hoon Main Khad-o-Khaal Ki Kimat Mohsin; Aaina Kr Na Sake Ga Kabhi Hairan Mujh Ko! |
Mere Huroofon Mere Lafzon Mein Hai Chehra Mera; Mera Fun Ab Mera Mazhab Mera Emaan Bhi Hai; Meer-o-Ghalib Na Sahi Phir Bhi Ghanimat Jano; Mere Yaaron Ke Sarhane Mera Diwaan Bhi Hai! |
Khwahishon Ko Jeb Me Rakh Kar Nikla Kijiye Janaab; Kharcha Bahot Hota Hai Manzilon Ko Paane Mein! |
Gar Na Ho Surat To Seerat Hi Sahi; Kuch To Hona Chahiye Insaan Mein! |
Jin Ke Angan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai; Un Ka Har Aaib Bhi Zamany Ko Hunar Lagta Hai! Translation: Shajar = Tree Aaib = Weakness |
Mujhe Yeh Darr Hai, Teri Aarzu Na Mitt Jaye; Bahut Dinon Se Tabiyat Meri Udaas Naheen! |
Rahi Taleem Mashriq Mein, Na Maghrib Mein Rahi Ghairat; Yeh Jitney Parhty Jatey Hain, Jahalat Barhti Jati Hai! |