Shayari

  • Woh Yun Mila Tha Ki Jaise Kabhi Na Bichhdega;

    Woh Yun Geya Ki Kabhi Laut Kar Nahi Aaya!
    ~ Aftab Hussain
  • Raat Mili Tanhai Mili Aur Jaam Mila;

    Ghar Se Nikle Toh Kya Kya Araam Mila!
    ~ Mohammad Alvi
  • Tere Ufuq Pe Sada Subah Jagmagati Rahe;

    Jahan Pe Main Hun Vahan Shaam Hone Wali Hai!
    ~ Aftab Hussain
  • Koi Titli Nishane Par Nahi Hai;

    Main Bas Rangon Ka Peechha Kar Raha Hun!
    ~ Zubair Ali Tabish
  • Bahut Ghurur Tha Suraj Ko Apni Shiddat Par;

    So Ek Pal Hi Sahi Badalon Se Haar Gaya!
    ~ Qamar Abbas Qamar
  • Qurbaten Hote Hue Bhi Faslon Mein Qaid Hain;

    Kitni Azadi Se Hum Apni Hadon Mein Qaid Hain!
    ~ Saleem Kausar
  • Bazm-e-Wafa Saji To Ajab Silsile Hue;

    Shikve Hue Na Un Se Na Hum Se Gile Hue!
    ~ Yazdani Jalandhari
  • Siyah Raat Nahi Leti Naam Dhalne Ka;

    Yahi To Waqt Hai Suraj Tere Nikalne Ka!
    ~ Shahryar
  • Sher Kehne Ki Tabiyat Na Rahi;

    Jis Se Aamad Thi Woh Surat Na Rahi!
    ~ Abdul Salam Bengluri
  • Ishq Ka Shor Hai, Mohabbat Ki Baatein Hai;

    Magar Koi Bekarar Nahi, Koi Wafa Nahi!
    ~ Himanshu Arora
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT