Yahan Libas Ki Keemat Hai Aadmi Ki Nahi; Mujhe Gilas Bade De Sharab Kam Kar De! |
Tera Afsana Ched Kar Koi, Aaj Jagega Raat-Bhar Koi; Aise Wo Dil Ko Tod Deta Hai, Dil Na Ho Jaise Ho Samar Koi! |
Na Koi Vaada Na Koi Yaqeen Na Koi Umeed; Magar Humein To Tera Intezar Karna Tha! |
Humein Bhi Aaj Hi Karna Tha Intezar Us Ka; Use Bhi Aaj Hi Sab Vaade Bhool Jaane The! |
Thehri Thehri Si Zindagi Kyon Hai, Meri Aankhon Mein Ye Nami Kyon Hai; Jis Ko Aankho Se Door Rakhna Tha, Aaj Qurbat Mein Phir Vahi Kyon Hai! |
Kaun Aayega Yahan Koi Na Aaya Hoga; Mera Darwaza Hawaon Ne Hilaya Hoga! |
Main Tha Wafa-Sarisht Mujhe Thi Wafa Aziz,
Wo Tha Bahana-Ju Use Khu-e-Baha Na Thi; Yun Koi Mere Paas Se Ho Kar Guzar Gaya, Jaise Kabhi Nazar Se Nazar Ashna Na Thi! * Wafa-Sarisht: Disposition of constancy * Bahana-Ju: one who seeks an excusedi |
Ab Bhi Barsat Ki Raaton Mein Badan Toota Hai; Jaag Uthti Hain Ajab Khwahishen Angdai Ki! |
Barsat Ke Aate Hi Tauba Na Rahi Baaki; Badal Jo Nazar Aaye Badli Meri Niyat Bhi! |
Meri Aankhen Aur Deedar Aap Ka; Ya Qayamat Aa Gayi Ya Khwab Hai! |