Barsat Ke Aate Hi Tauba Na Rahi Baaki; Badal Jo Nazar Aaye Badli Meri Niyat Bhi! |
Aarzoo Teri Barqarar Rahe; Dil Ka Kya Hai Raha Raha Na Raha! |
Aaine Mein Wo Dekh Rahe The Bahaar-e-Husn; Aaya Mera Khayal To Sharma Ke Reh Gaye! |
Nahi Aati To Unki Yaad Mahino Tak Nahi Aati; Magar Jab Yaad Aate Hain, To Aksar Yaad Aate Hain! |
Aur Bhi Ho Gaye Begana Wo Gaflat Karke; Aazamaya Jo Unhein Tark-e-Mohabbat Karke; Dil Ne Chhodaa Hai Na Chhode Tere Milne Ka Khayal; Baaraha Dekh Liya Humne Malamat Karke; Ruh Ne Payi Hai Takleef-e-Judai Se Nijaat; Aapki Yaad Ko Saramaya-e-Rahat Karke; Chhed Se Ab Wo Ye Kehte Hain Ki Sambhlo 'Hasarat'; Sabr-o-Taab-e-Dil-Beemaar Ko Garat Karke! |
Vasl Kee Banti Hain In Baaton Se Tadbeerein Kahin; Aarzuon Se Phira Karti Hain Taqdeerein Kahin; Bezubani Tarjumane-Shauq-e-Behad Ho Na Ho; Varna Pesh-e-Yaar Kaam Aati Hain Taqreerein Kahin; Mit Rahi Hain Dil Se Yaadein Rozagar-e-Aish Kee; Ab Nazar Kaahe Ko Aayengi Ye Tasveerein Kahin; Iltifaat-e-Yaar Tha Ik Khwab-w-Aagaz-e-Wafa; Sach Hua Karti Hain In Khwabon Kee Tabeerein Kahin; Teri Besabri Hai 'Hasrat' Khaamkari Kee Daleel; Giriya-e-Ushaq Mein Hoti Hain Taseerein Kahin! |
Aaine Mein Wo Dekh Rahe The Bahaar-e-Husn; Aaya Mera Khayal To Sharma Ke Reh Gaye! |
Chori Chori Humse Tum Aa Kar Mile The Jis Jagah; Muddatein Guzri Par Ab Tak Wo Thikana Yaad Hai! |
Chup Ke Se Usne Jo Khud-Numai Kee; Intiha Thi Ye Dilrubi Kee; Mail-e-Ghamza Hai Wo Chashm-e-Siyaah; Ab Nahi Khair Parsayi Kee; Hum Se Kyonkar Wo Aastana Chhute; Muddaton Jis Pe Jabha-Sai Kee; Dil Ne Barson Ba-Justju-e-Kamaal; Koocha-e-Ishq Mein Gadaai Kee; Daam Se Un Ke Chutna To Kahan; Ya Hawas Bhi Nahi Rihai Kee; Ho Ke Nadim Wo Baithe Hain Khamosh; Sulh Mein Shan Hai Ladai Kee; Us Taghaful-Shiar Se 'Hasrat'; Hum Mein Taqat Nahi Judai Kee! |
Dilon Ko Fikr-e-Do-Alam Se Kar Diya Aazad; Tere Junoon Ka Khuda Silsila Daraaz Kare! |