Dhoop Ne Guzarish Ki; Ek Boond Barish Ki! |
Duniya Mizaz-Dan-o-Mizaz-Ashna Na Thi, Duniya Ke Paas Zehar Bahut Tha Dawa Na Thi; Roshan Tha Dil Mein Sirf Kisi Yaad Ka Charagh, Ghar Mein Koi Bhi Roshni Us Ke Siwa Na Thi! |
Khamoshi Se Musibat Aur Bhi Sangeen Hoti Hai; Tadap Ai Dil Tadapne Se Zara Taskeen Hoti Hai! *Taskeen: Satisfaction, Comfort |
Kuch Aansu Ro Lene Ke Baad Nazar-e-Khwab Ho Gaya, Main Tum Ko Yaad Karte Karte Gehri Neend So Geya; Ragen Lakiren Ho Gayi Masam Nuqte Ban Gaye, Badan Tumhari Yaad Mein Huruf-e-Nazm Ho Geya! |
Apni Marzi Se Kahan Apne Safar Ke Hum Hain; Rukh Hawaon Ka Jidhar Ka Hai Udhar Ke Hum Hain! |
Jo Nigah-e-Naaz Ka Bismil Nahi; Dil Nahi Wo Dil Nahi Wo Dil Nahi! *Bismil: Wounded |
Yun Meri Ummeedon Ke Mahal Ho Gaye Mismar, Jis Tarah Koi Ret Ki Deewar Na Thahre; Pahuncha Naye Halat Ke Dhare Pe Safina, Mumkin Hai Mere Haath Mein Patvar Na Thahre! *Mismar: Ruined *Safina: Boat |
Aaj Pi Lene De Saaqi Mujhe Jee Lene De; Kal Meri Raat Khuda Jaane Kahan Guzregi! |
Zindagi Ke Udaas Lamhon Mein; Bewafa Dost Yaad Aate Hain! |
Kisi Gul Ki Qaba Milti Nahi Tehriq Se Khali, Junoon Ne Le Ke Banti Hain Ye Kitni Dhajjiyan Mujh Se; Pila Saaqi Ki Reh Jaye Khumar-e-Kaif Ka Parda, Bas Ab Rukti Nahi Aati Hui Angdaiyan Mujh Se! *Khumar-e-Kaif: Exhilaration *Qaba: apparel, garment |