Hichkiyon Par Ho Raha Hai Zindagi Ka Raag Ḳhatam; Jhatke De Kar Taar Tode Ja Rahe Hain Saaz Ke! |
Ghazal Uss Ne Chhedi Mujhe Saaz Dena; Zara Umar-e-Rafta Ko Awaaz Dena! |
Khamoshyian Kar Deti Byan To Alag Baat Hai; Kuchh Dard Hai Jo Lafzo Main Utaare Nahi Jate! |
Mil Sake Aasani Se Uski Khawaish Kise Hai; Zid To Uski Hai Jo Mukadar Me Likha Hi Nahi Hai! |
Har Baar Hawao Ko Ilzaam Dena Thik Nahi Yaaro; Kabhi Sochna Kahi Chiraag Khud Na Thak Gaya Ho Jalte Jalte! |
Mohabbat Ki Misal Main, Bus Itna Hi Kahunga; Bemisaal Saza Hai, Kisi Be-Gunahon Ke Liye! |
Jab Kisi Ke Sapne Kisi Ke Armaan Ban Jaye; Jab Kisi Ki Hassi Kisi Ki Muskaan Ban Jaye; Pyaar Kehte Hai Usse; Jab Kisi Ki Saanse Kisi Ki Jaan Ban Jaye! |
Fikr-e-Maash Ishq-e-Butan Yaad-e-Raftagan; Is Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare! |
Diye Hain Zindagi Ne Zaḳhm Aise; Ki Jin Ka Waqt Bhi Marham Nahin Hai! |
Duniya Ke Jo Maze Hain Hargiz Woh Kam Na Honge; Charche Yoon Hi Rahenge Afsos Hum Na Honge! |