Dil Bhar Aaya Kaghaz-e-Ḳhali Ki Surat Dekh Kar; Jin Ko Likhna Tha Woh Sab Batein Zubani Ho Gayin! |
Chala Jaunga Jaise Ḳhud Ko Tanha Chhoḍ Kar; Main Apne Aap Ko Raton Mein Uth Kar Dekh Leta Hoon! |
Bahut Pehle Se Un Kadmon Ki Aahat Jaan Lete Hain; Tujhe Ai Zindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hain! |
Badi Talash Se Milti Hai Zindagi Ai Dost; Qaza Ki Tarah Pata Puchti Nahi Aati! |
Dil Ka Kya Hai Dil Ne Kitne Manzar Dekhe Lekin; Ankhen Pagal Ho Jaati Hain Ek Ḳhayal Se Pehle! |
Aaj Nagah Hum Kisi Se Mile; Baad Muddat Ke Zindagī Se Mile! |
Ai Hijr Waqt Tal Nahi Sakta Hai Maut Ka; Lekin Ye Dekhna Hai Ki Mitti Kahan Ki Hai! |
Zakhm Itne Bade Hain Izhaar Kya Karein; Hum Khud Nishana Ban Gaye Vaar Kya Karein; Mar Gaye Hum Lekin Khuli Reh Gai Ankhen; Ab Isse Zyada Kisi Ka Intezaar Kya Karein! |
Pyaar Aur Dosti Mein Itna Fark Paya Hai; Pyaar Ne Sahaara Diya Aur Dost Ne Nibhaaya Hai; Kis Rishte Ko Gehara Kahu; Ek Ne Zindagi Di Aur Dusre Ne Jeena Sikhaaya Hai! |
Pyar Ke Panno Se Bhari Kitab Ho Tum; Rishton Ke Phulo Mein Gulab Ho Tum; Kuch Log Kehte Hai Ki Pyar Sacha Nahi Hota; Unn Logon Ke Har Sawaal Ka Jawab Ho Tum! |