Peete Hai Gham e Duniya Bhulaa Ne Ke Liye, Aur Koi Baat Nahi; Jannat Main Kahan Gham Hai, Waha Peene Kaa Mazaa Nahi! |
Kya Rog De Gayi Hai Yeh Naye Mausam Ki Barish; Mujhe Yaad Aa Rahe Hain Mujhe Bhool Jane Wale! |
Uski Bewafai Pe Bhi Fida Hoti Hai Jaan Apni; Khuda Jaane Agar Usmein Wafa Hoti Toh Kya Hota! |
Rehte Hain Aas Paas Hi Lekin Saath Nahi Hote; Kuch Log Jalte Hain Mujhse Bus Khaak Nahi Hote! |
Jeene Ki Khwaish Mein Har Roz Marte Hain; Wo Aaye Na Aaye Hum Intezaar Karte Hain; Jutha Hi Sahi Mere Yaar Ka Vaada Hai; Hum Sach Maankar Aitbar Karte Hain! |
Alfaaz Giraa Dete Hain Jazbaat Ki Qeemat; Har Baat Ko Alfaaz Mein Tola Na Karo! |
Kisi Ki Yaadon Ko Rok Paana Mushkil Hai; Rote Hue Dil Ko Manana Mushkil Hai; Yeh Dil Apno Ko Kitna Yaad Karta Hai; Yeh Kuch Lafzon Mein Bayan Kar Paana Mushkil Hai! |
Sab Hawayein Le Gayaa Mere Samandar Ki Koi; Aur Mujhko Ek Kashti Badvani De Gayaa! |
Usse Shaq Hai Ki Main, Uske Liye Jaan Nahi De Sakta; Aur Mujhe Darr Hai Woh Royegi Bahut, Mujhe Azmaane Ke Baad! |
Zindagi Ke Liye Jaan Jaroori Hai; Jeene Ke Liye Armaan Jaroori Hai; Hamare Paas Chahe Ho Kitne Bhi Gham; Tere Chehre Par Muskan Jaroori Hai! |