Main Sulagta Raha Hun Tere Ishq Mein Kisi Ad-Jali Shaakh Sa; Kaash! Tu Bhi Mere Ishq Mein Pighalti Kabhi Mom Si! |
Kuch Aisi Mohabbat Uske Dil Mein Bhar De Ai Khuda, Wo Jis Ko Bhi Chahein Wo Main Ban Jaun! |
Sach Hai Insan Ki Khwaish Ki Koi Hadh Nahi,
Meri Unginat Khwaishein Dekho Ek Tum Bas Tum Sirf Tum! |
Zindagi Guzar Jaye Par Pyaar Kam Na Ho, Yaad Humein Rakhna Chahe Paas Hum Na Ho, Qayamat Tak Chalta Rahe Yeh Pyaar Ka Safar, Dua Karo Rab Se Kabhi Yeh Rishta Khatam Na Ho! |
Ruthkar Baith Na Jana Humko Manane Wale, Raah Khud Bhul Na Jana Raah Dikhane Wale, Aapke Aangan Mein Barse Khushi Ke Baadal, Yahi Dua Karte Hai Hum Ashk Bahane Wale! |
Tamana Hai Meri Ki Aapki Aarzoo Ban Jau, Aapki Aankh Ka Tara Na Sahi Aapki Aankh Ka Aansu Ban Jau, Main Aap Ki Zindagi Ki Khushi Banu Ya Na Ban Saku, Aapke Gham Mein Aapka Sahara Ban Jau! |
Dekha Tujko Jab Se Hai Ye Bat Is Dil Mein Tab Se, Mil Jaye Mujko Pyaar Jo Tera Fir Na Kuch Mangana Hai Rab Se! |
Khwaish-e-Zindagi Bas Itni Si Hai Ab Meri, Ki Saath Tera Ho Aur Zindagi Kabhi Khatam Na Ho! |
Kaash Yaadon Ka Matlab Wo Samajhte, Kaash Khwabon Ka Matlab Wo Samajhte, Nazar Milti Hai Hazaar Nazron Se, Kash Hamari Nazar Ka Matlab Wo Samajhte! |
Tamanna Hai Meri Ki Aapki Aarzu Ban Jaun, Aapki Aankh Ka Tara Na Sahi Aapki Aankh Ka Aansu Ban Jaun, Main Aap Ki Zindagi Kee Khushi Banu Ya Na Ban Saku, Aapke Gham Mein Aapka Sahara Ban Jaun! |