Tamana Hai Meri Ki Aapki Aarzoo Ban Jaun; Aapki Aankh Ka Tara Na Sahi Aapki Aankh Ka Aansu Ban Jaun; Main Aap Kee Zindagi Kee Khushi Banu Ya Na Ban Sakun; Aapke Gham Mein Aapka Sahara Ban Jaun! |
Kash Koi Mile Is Tarah Ke Phir Judaa Na Ho; Wo Samjhe Mere Mizaz Ko Aur Kabhi Khafa Na Ho; Apne Ehsaas Se Baant Le Saari Tanhayi Meri; Itna Pyaar De Jo Pehle Kabhi Kisi Ne Diya Na Ho! |
Aarzoo Hai Ki Unki Har Nazar Dekha Karein; Woh Hi Apne Saamne Ho Hum Jidhar Dekha Karein; Ek Taraf Ho Saari Duniya, Ek Taraf Surat Teri; Hum Tujhe Duniya Se Hokar Bekhabar Dekha Karein! |
Meri Nazaron Ko Aaj Bhi Talaash Hai Teri; Bina Aapke Khushi Bhi Udaas Hai Meri; Khuda Se Maanga Hai To Sirf Itna; Ki Marne Se Pehle Aapse Mulaqat Ho Meri! |
Ajnabi Thi Baatein Sabhi Uske Pyaar Kee; Nahi Thi Khabar Ek Din Qayamat Zaroor Hogi; Karte Rahe Fariyad Us Khuda Se Ai Sanam; Milega Tu Mujhe, Khuda Kee Rehmat Zaroor Hogi! |
Gum Na Ho Wahan Jahan Ho Aafsana Apka; Khusiyan Dhundti Rahe Aashiyana Aapka; Wo Waqt Hi Na Aaye Jab Aap Udas Ho; Ye Duniya Bhula Na Sake Muskurana Apka! |
Dil Mein Umeed Kee Shama Jala Rakhi Hai; Humne Apni Alag Duniya Basa Rakhi Hai; Iss Umeed Ke Saath Ki Aayenge Woh Kabhi; Humne Har Raah Pe Apni Palkein Bichha Rakhi Hain! |
Jo Saath Ki Umeed Hum Saari Umar Unse Karte Rahe; Woh Tanhayian Ne Buhut Adab Se Guzaara Hamare Sang! |
Aarzu Ye Hai Ki Unki Har Nazar Dekha Karen; Woh Hi Apne Samne Ho, Hum Jidhar Dekha Karen; Ek Taraf Ho Sari Duniya, Ek Taraf Teri Surat Ho; Hum Tujhe Duniya Se Hokar Bekhabar Dekha Karen! |
Hamari Har Khushi Ka Ehsaas Tumhara Ho; Tumhare Har Gum Ka Dard Hamara Ho; Mar Bhi Jayein To Humein Koi Gum Nahi; Bas Aakhiri Waqt Saath Tumhara Ho! |