Majburi Mein Jab Koi Juda Hota Hai, Zaroori Nahi Ki Wo Bewafa Hota Hai, De Kar Wo Aapki Aankhon Mein Aansu, Akele Mein Aapse Bhi Zyada Rota Hai! |
Jo Aata Hai Khushi Ki Inteha Par, Bahut Roye The Us Aansu Ki Khatir! |
Mujhe Maloom Hai Tumne Bahut Barsaat Dekhi Hai, Magar Meri Inhi Aankhon Se Sawan Haar Jaata Hai! |
Jab Jab Aapse Milne Kee Umeed Nazar Aayi, Mere Paanv Mein Zanjeer Nazar Aayi, Gir Pade Aansu Aankh Se, Aur Har Ek Aansu Mein Aapki Tasveer Nazar Aayi! |
Jab Lafz Thak Gaye To Phir Ankhon Ne Baat Kee; Jo Baatein Aankhein Na Keh Saki Wo Phir Ashkon Se Bayaan Hui! |
Rone Kee Saza Na Rulane Kee Saza Hai, Ye Dard Mohabbat Ko Nibhane Kee Saza Hai; Hanste Hain To Aankhon Se Nikal Aate Hain Aansu, Ye Us Shakhs Se Dil Lagane Kee Saza Hai! |
Betab Se Rehte Hain Teri Yaad Mein Aksar; Raat Bhar Nahi Sote Teri Yaad Mein Aksar; Jism Mein Dard Ka Bahana Sa Bana Kar; Hum Toot Ke Rote Hain Teri Yaad Mein Aksar! |
Yun Kisi Kee Yaad Mein Rona Fizool Hai; Itne Anmol Aansu Khona Fizool Hai; Rona To Unke Liye Jo Hum Par Nisaar Hain; Unke Liye Kya Rona Jinke Aashiq Hazaar Hain! |
Jo Aag Lagayi Thi Tum Ne Us Ko To Bujhaya Ashkon Ne; Jo Ashkon Ne Bhadkayi Hai Us Aag Ko Thanda Kaun Kare! |
Hum Rone Pe Aa Jayein To Dariya Hi Baha Den; Shabnam Kee Tarah Se Humein Rona Nahi Aataa! |