Aansuon Ko Peena Purani Aadat Hai Meri; Mujhe Logon Ko Apna Gham Dikhana Nahi Aata! |
Meri Aankhon Se Gire Hain Yeh Jo Chand Katre; Jo Samajh Sako To Aansu, Na Samajh Sako To Pani! |
Pyaas Bujh Jaye Zameen Sabz Ho Manzar Dhul Jaye; Kaam Kya Kya Na In Aankhon Kee Tari Aaye Humein! |
Mil Kar Judaa Hue To Na Soya Karenge Hum; Ek Dusre Kee Yaad Mein Roya Karenge Hum; Aansu Jhalak Jhalak Ke Satayenge Raat Bhar; Moti Palak Palak Mein Piroya Karenge Hum! |
Hamare Ashk Mein Apka Khwab Chupa Hai; Hamari Khushi Mein Aapka Ehsas Chupa Hai; Tum Hamari Dastan Mein Raho Ya Na Raho; Lekin Is Dil Mein Hamesha Aapke Liye Pyaar Chupa Hai! |
Tum Ne Jo Chonk Kar Har Jagah Nigah Kee Hogi; Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi; Ye Jo Moti Baraste Hain Teri Yaad Mein Aksar; Badlon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi |
Kaise Rokun Jo Ashk Aankhon Se Dhal Jaate Hain; Dil Ke Kuch Dard Hain Aankhon Se Nikal Aate Hain! |
Bikhre Ashkon Ke Moti Hum Piro Na Sake; Teri Yaad Mein Saari Raat So Na Sake; Mit Na Jaye In Ashkon Mein Teri Yaadein; Yahi Soch Kar Hum Bas Ro Na Sake! |
Unhe Kehna Ki Meri Maut Par Aansoo Na Bahaye; Mujhe Apni Maut Se Jyada Unke Rone Ka Dukh Hoga! |
Is Duniya Mein Koi Kisi Ka Nahi Hota; Lakh Nibhao Rishta Koi Apna Nahi Hota; Galatfehmi Rehti Hai Kuch Dino Ke Liye; Lekin Uske Baad Aankhon Mein Aansuon Ke Siwa Kuch Nahi Hota! |