Maine Har Gum Ko Hans Kar Utha Liya; Raaz Teri Bewafai Ka Sabse Chhipa Liya; Mujhko To Teri Wafaon Par Yakin Tha; Na Jane Kyon Tumne Apna Daman Chhuda Liya! |
Wafa Ka Naam Mat Lo Yaaro Wafa Dil Ko Dukhati Hai; Wafa Ka Naam Lene Se Humein Ek Bewafa Kee Yaad Aati Hai! |
Kis Se Se Mangein Dawaa Zakhmon Kee; Sabhi Ne Chotein Khayi Hain; Kisi Ka Sanam Bewafa Hai To; Kisi Ka Sajan Harzayi Hai! |
Jaan Kar Bhi Woh Humein Jaan Na Paye; Aaj Tak Woh Humein Pehchaan Na Paye; Khud Hi Kar Lee Bewafai Humne; Taaki Unpar Koi Ilzaam Na Aaye! |
Hum Aapko Chahenge Wafa Ki Had Tak; Bewafai Ko Apki Hum Wafa Kar Denge; Royenge Aap Hume Dekar Saza; Ek Din Hum Aisi Khata Kar Denge! |
Jo Dil Zinda Hi Na Ho Uske Liye Zindagi Kya Hai; Lete Rehte Hain Naam Unka Woh Mere Nahi To Kya Hai; Dhadkta Rehta Hai Kehne Ko To Ye Dil Mera; Zindagi Chalti Rahe Ya Khatam Ho Humein Matlab Hi Kya Hai! |
Farz Tha Jo Mera Nibha Diya Maine; Usne Jo Maanga Wo Sab Diya Maine; Wo Sunke Gairon Ki Baatein Bewafa Ho Geya; Samajh Kar Khawab Usko Aakhir Bhula Diya Maine! |
Jaane Meri Aankhon Se Kitne Aansu Beh Gaye; Insano Ki Iss Bheed Mein Dekho Hum Tanha Reh Gaye; Karte The Jo Kabhi Apni Wafa Ki Baatein; Aaj Wahi Sanam Humein Bewafa Keh Gaye! |
Main Apne Ghar Geya Tha Woh Jab Apne Ghar Gayi; Phir Mujh Ko Kya Khabar Ki Wahan Se Kidhar Gayi! |
Sameit Kar Le Ja Apni Yaadon Ke Adhooray Qissay; Teri Agli Chahat Mein Tujhe In Kee Bhi Zaroorat Hogi! |