Roz Dhalti Hui Shaam Se Dar Lagta Hai; Ab Mujhe Ishq Ke Anjaam Se Dar Lagta Hai; Jab Se Mili Hai Bewafai Mujhe Ishq Mein; Tab Se Ishq Ke Naam Se Bhi Dar Lagta Hai! |
Jaan Kar Bhi Woh Humein Jaan Na Paye; Aaj Tak Woh Humein Pehchan Na Paye; Khud Hi Kar Li Bewafai Hum Ne Unse; Taki Un Par Bewafai Ka Koi Ilzam Na Aaye! |
Dilon Se Khelne Ka Hunar Humein Nahi Aata; Isi Liye Ishq Kee Baazi Hum Haar Gaye; Meri Zindagi Se Shayad Unhein Bahut Pyaar Tha; Isi Liye Mujhe Zinda Hi Wo Maar Gaye! |
Nahi Tha Yakeen Kabhi Milna Padega Judai Ke Baad; Phir Bhadak Uthenge Jazbat Tumhari Bewafai Ke Baad! |
Kuchh Iss Tarah Se Meri Zindagi Ko Maine Aasan Kar Liya; Bhool Kar Teri Bewafai, Maine Apni Tanhai Se Pyaar Kar Liya! |
Ek Bewafa Ko Apna Hamraaj Banakar; Ab Pachhta Raha Hun Apna Dil Ganwakar; Us Bewafa Ne Zindagi Mein Aag Laga Di; Jise Dil Mein Basaya Tha Dhadkan Banakar! |
Ek Hasrat Thi Ki Unke Dil Mein Panah Milegi; Kya Pata Tha Unki Mohabbat Mein Yeh Saza Milegi; Na Apno Ne Samjha Na Gairon Ne Jaana; Kya Khabar Thi Mujhe Meri Taqdeer Mein Bewafa Milegi! |
Duniya Ne Kis Ka Rah-e-Wafa Mein Diya Hai Sath; Tum Bhi Chale Chalo Yun Hi Jab Tak Chali Chale! |
Kisko Farebi Hum Kahein Kisko Kahein Hum Bewafa; Kismat Hi Shayad Aisi Likha Kar Laaye Hain Hum; Aaj Wakif Hai Yaaro Humse Shehar Ka Har Ek Aadmi; Magar Apno Ke Liye Hi Dekhiye Paraye Hain Hum! |
Hai Agar Hamari Koi Khata Tu Sabit To Kar; Agar Bure Hain Hum To Bura Saabit To Kar; Tujhe Chaha Hai Humne Kitna, Tu Kya Jane; Chal Hum Bewafa Hi Sahi, Tu Apni Wafa Sabit To Kar! |