Hum Ko Unse Wafa Ki Hai Ummeed; Jo Nahi Jaante Wafa Kya Hai! |
Un Dino Meri Shaksiyat-o-Aawargi Ke Charche Aam Hote Rahe; Kuch Chubhte Alfaazon Ko Labon Pe Thaam Hum Bhi Be-Aaaraam Hote Rahe; Waqt Ki To Yun Bhi Fitrat Hai Apni Raftaar Mein Chalne Ki; Vo Apne Andaaz Mein Chalta Raha Aur Hum Badnaam Hote Rahe! |
Woh Shakhs Ek Choti Si Bat Pe Yoon Rooth Ke Chal Dia; Jese Useh Sadiyo Se Kisi Bahane Ki Talash Thi! |
Jisne Haq Diya Mujhe Muskurane Ka; Ushe Shauk Hai Ab Muje Rulane Ka; Jo Lehro Se Cheen Kar Laya Tha Kinaro Par; Intzaar Ha Ushe Ab Mere Doob Jaane Ka! |
Khamosh Teh Hum To Magroor Samaj Liya; Chup Hai Hum To Majboor Samaj Liya; Yehi Aap Ki Khushnasibi Hai Ke Hum Itne Qarib Hain; Phir Bhi Aap Nay Door Samajh Liya! |
Woh Ruksat Huyi To Ankh Milakar Nahi Gayi; Woh Q Gayi Yeh Batakar Nahi Gayi; Lagta Hai Wapis Abhi Laut Ayegi; Woh Jate Huwe Chirag Bujhakar Nahi Gayi! |
Jandi Jandi Har Raaz Apne Naal Le Gai; Jandi Jandi Di Chupi Sanu Kuch Keh Gai; Keh Gai Dil Todna Sadi Majboori Nahi Sadi Aadat Ae; Teri Eho Aadat Sadi Jaan Kad Ke Le Gai! |
Nafrat Ki Dhoop Me Barsat Se Pehle; Halaat Na Thay Aese Teri Mulaqat Se Pehle; Har Kisi Ko Hamdard Samajh Lete Thay; Hum Bhi Kitne Saada Thay Muhabbaton K Tajurbat Se Pehle! |
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe; Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe; Main Ush Ko Bewafai Ka Ilzam Kaise Du; Usne To Dil Se Hi Chaha Nahi Mujhe! |
Kamaal Ka Shakhs Tha Jis Ne Zindagi Tabah Kur Dee; Raaz Ki Bat Hai Dil Ussh Se Khafa Ab Bhi Nahi! |