Wo Ajnabi Tha Toh Mujse Dil Lagaya Kyun; Is Gair Ko Apna Banaya Kyun; Wo Mera Hota To Mujhe Chhod Ke Kyun Jata; Wo Mera Nahi Tha Toh Meri Zindagi Me Aya Kyun! |
Bar Bar Zindagi Ko Ajmaea Hai Hammne; Har Pal Har Lamha Sirf Gum Paya Hai Hammne; Dil Ke Tukre Ushi Ne Kie Hai Hamare; Dil Ki Gehraion Mein Jishe Basaea Hai Hammne! |
Saray Raah Jo Unseh Nazar Mili; To Naksh Dil Kay Ubhar Gaye; Hum Nazar Mila Kar Jhijhag Gaye; Woh Nazar Jhukaa Kar Chalay Gaye! |
Kabhi Laga Woh Humhe Sata Rahe Hai; Kabhi Laga Ke Woh Karib Aa Rahe Hai; Kuch Log Hote Hai Ansuon Ki Tarah Hi; Pata Hi Nahi Lagta Sath De Rahe He Ya Chod Ke Ja Rahe Hai! |
Wo Raat Dard Aur Sitam Ki Raat Hogi; Jis Raat Rukhsat Unki Barat Hogi; Uth Jaate Hai Yeh Soch Kar Neend Se Aksar; K Kisi Gair Ki Bahon Mein Hamari Saari Kainat Hogi! |
Hum Ne Iqbal Ka Kaha Maana; Aur Faaqon Ke Haathon Marte Rahe; Jhukne Waalon Ne Rifatein Paaein; Hum Khudi Ko Buland Karte Rahe! |
Bekhabar Tujhe Kya Khabar; Teri Aankhon Mai Kaisa Jamal Hai; Tujhe Dekh Le Jo Bas Ik Nazar; Us Ki Aankhon Mai Phir Yeh Sawal Hai! |
Unke Honthon Pe Mera Naam Jab Aya Hoga; Khud ko Ruswaie Se Phir Kaise Bachaya Hoga; Sun ke Fasana Auro Se Meri Barbadi Ka; Kya Unko Apna Sitam Na Yaad Aya Hoga! |
Jaane Kyu Log Hamhe Aajmate Hai; Kuch Pal Sath Rahne Ke Baad Dur Chale Jate Hai; Sach Hi Kahte Hai Log Ki Sagar Ke Milne Ke Baad; Log Barish Ko Bhul Jate Hai! |
Palko Ke Kinare Humne Bhigoye Hi Nahi; Woh Sochte Hai Hum Roye Hi Nahi; Woh Puchte Hai Khwabon Me Kise Dekhte Ho; Hum Hai Ki Ek Umar Se Soye Hi Nahi! |