Jane Kya Soch Ke Lehrein Sahil Se Takrati Hain; Aur Phir Se Vapis Laut Jati Hain; Samaj Nahi Ata Ke Woh Kinaro Se Bewafai Karti Hain; Ya Phir Laut Ke Samandar Se Wafa Nibhati Hain! |
Pal Pal Uska Saath Nibhate Hum; Ek Ishare Par Duniya Chor Jaate Hum; Samnder Ke Beech Mein Pahunch Kar Fareb Kiya Usne; Wo Kehta To Kinare Par Hi Doob Jaate Hum! |
Na Thi Jisko Mere Pyaar Ki Kadar; Ittefaaq Se Usi Ko Chah Raha Tha Main; Usi Diye Ne Jalaya Mere Hathon Ko; Jisko Hawa Se Bacha Raha Tha Main! |
Saameit Ke Le Ja Apne Jhoote Vaade Aur Adhoore Kisse; Agli Chahat Mein Tumhe Fir Inki Jaroorat Padegi! |
Aisa Kya Likhoon Ke Tere Dil Ko Taskeen Pahunchay; Kya Yeh Kaafi Nahin Ke Meri Duaaon Mein Tum Ho! |
Uske Hoonton Par Mera Naam Jab Aaya Hoga; Khud Ko Rusvaayi Se Phir Kaise Bachaaya Hoga; Sun Ke Auron Se Fasaanaa Meri Barbaadi Ka; Kya Usko Apna Sitam Yaad Na Aaya Hoga! |
Kuch To Majbooriyaan Uski Bhi Rahi Hongi Aye Gaalib; Varnaa Yunhi Mohabbat Mein Koi Bewafaa Nahi Hota! |
Ek Chhoti Si Galti Pe Wo Mujhe Chhod Gaya; Jaise Sadiyon Se Wo Meri Galti Ki Talaash Mein Hi Tha! |
Mohabbat Dekhi Hai Maine Zamaane Bhar Ke Logon Ki; Jahaan Kuch Daam Zyada Ho Aksar Vahaan Insaan Bik Jaate Hain! |
Zikar Us Pariwash Ka Aur Bayaan Apna; Ban Gaya Raqeeb Aakhir, Tha Jo Raazdaan Apna! Raqeeb = Rival |