Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunaate Rahe; Humari Tanhaayion Se Ankh Churaate Rahe; Aur Hume Bewafa Ka Naam Mila, Kyunki; Hum Har Dard Muskura Kar Chipaate Rahe! |
Humse Dur Jane Ka Bahana Na Bana Lena; Bass Jane Ki Ek Wajah Bata Dena; Khud Chale Jayenge Apki Zindagi Se; Lekin Jahan Aapki Yaad Na Aaye; Uss Jagah Ka Pata Bata Dena! |
Kissi Ke Pyar Mein Gehri Chot Khai Hai; Wafa Se Pehle Hi Wafa Bewafa Paayi Hai; Log To Dua Maangte Hein Iss Haal Mein Marne Ki; Par Hamne Uski Yaadon Mein Jeene Ki Kasam Khai Hai! |
Kya Batau Mera Haal Hai Kaisa; Ek Din Guzarta Hai Ek Saal Jaisa; Tadapta Hu Iss Kadar Bewafayi Mein Uski; Yeh Tan Baanta Ja Raha Hai Kankal Jaisa! Kankal = Skeleton |
Duniya Bhi Dekhi Aur Duniyadaari Bhi Deekhi; Dil Par Mainee Chalti Hui Aari Bhi Dekhi; Dekhe The Jo Log Maine Wafadariyaan Nibhaate; Unhi Ke Hathon Maine Hoti Gadaari Bhi Dekhi! |
Jab Bhi Kisi Ko Kareeb Paya Hai; Kasam Khuda Ki, Wahin Dhokha Khaya Hai; Kyon Dosh Dete Hain Hum Kaanto Ko; Zakhm To Humne Phulo Se Hi Paya Hai! |
Unki Chahat Mein Dil Majbur Ho Geya; Bewafai Karna Unka Dastur Ho Geya; Kasur Unka Nahi, Hamara Tha; Humne Chaha Hi Itna Ki Unko Garur Ho Geya! |
Jaan Kar Bhi Woh Mujhe Jaan Na Paiye; Aaj Tak Woh Mujhe Pehchaan Na Paiye; Khud Hi Karli Bewafai Hum Ne, Dosto; Ta-Ke Unn Par Koi Ilzaam Na Aaye! |
Wo Zeher Dekar Maarte To Duniya Ki Nazron Mein Aa Jaate; Andaaz-e-Qatal To Dekho, Mohabbat Karke Chhod Diya! |
Woh Bhool Gaye Unhe Hasaya Kisne Tha; Jab Woh Ruthte The To Unhe Manaya Kisne Tha; Woh Kehte Hain Ke Woh Bahut Achhe Hain; Lekin Woh Bhool Gaye Ke Unhe Yeh Bataya Kisne Tha! |