Kyon Pasheman Ho Agar Vaada Wafa Ho Na Saka; Kahin Vaade Bhi Nibhane Ke Liye Hote Hain! |
Hum Toh Tamam Umar Teri Hi Ada Rahe; Ye Kya Hua Ki Phir Bhi Hum Bewafa Rahe! |
Nazron Mein Kahan Us Ki Wo Pehla Sa Raha Main; Hansta Hun Ki Kya Soch Ke Karta Tha Wafa Main! |
Hum Se Kya Ho Saka Mohabbat Mein; Khair Tum Ne To Bewafai Ki! |
Taras Gaye Hain Thodi Si Wafa Ke Liye, Kisi Se Pyaar Na Karenge Khuda Ke Liye; Jab Bhi Lagti Hai Ishq Ki Aadalat, Hum Hi Chune Jaate Hain Sazaa Ke Liye! |
Woh Nikal Gaye Mere Raaste Se Is Kadar Ki, Jaise Ki Woh Mujhe Pehchante Nahi; Kitne Zakham Khaye Hain Mere Is Dil Ne, Phir Bhi Hum Us Bewafa Ko Bewafa Mante Hi Nahi! |
Apne Usool Kabhi Yun Bhi Todne Pade, Khata Uski Thi Hath Mujhe Jodne Pade! |
Aashiqui Mein Bahut Zaruri Hai, Bewafai Kabhi Kabhi Karna! |
Aap Daulat Ke Tarazu Mein Dilon Ko Taulen, Hum Mohabbat Se Mohabbat Ka Sila Dete Hain! |
Dushmanon Ki Jafa Ka Khauf Nahin; Doston Ki Wafa Se Darte Hain! |