Yeh Bewafa Zindagi Bhi Tumhare Naam Karte Hain 'Faraz'; Suna Hai Khoob Banti Hai Bewafa Se Bewafa Ki! |
Wafa Tujh Se Aey Bewafa Chahta Hun; Mere Sadgi Dekh Kya Chahta Hun! |
Bewafai Pe Teri Jee Hai Fida; Qahar Hota Jo Bewafa Hota! |
Rehne De Yeh Kitaab Tere Kaam Ki Nahi, Iss Mein Likhe Hue Hain Wafaaon Ke Tazkare! |
Wafa Tujh Se Ai Bewafa Chahta Hun; Meri Saadgi Dekh Kya Chahta Hun! |
Jo Teer Bhi Aata Woh Khaali Nahi Jata, Mayus Mere Dil Se Sawali Nahi Jata; Kaante Hi Kya Karte Hain Phoolon Ki Hifazat, Phoolon Ko Bachane Koi Maali Nahi Aata! |
Iss Mohabbat Ki Kitaab Ke Bas Do Hi Sabak Yaad Hue; Kuch Tum Jaise Aabaad Hue Kuch Hum Jaise Barbaad Hun! |
Aaj Bhi Us Ki Aankhon Mein Raaz Wohi Tha, Chehra Wohi Tha Chehre Ka Libas Wohi Tha; Kaise Us Ko Bewafa Keh Dun Yaaro, Aaj Bhi Us Ke Dekhne Ka Andaaz Wohi Tha! |
Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibahne Wala; Wo Hi Andaaz Hai Zalam Ka Zamane Wala! |
Woh To Apne Dard Ro-Ro Ke Sunate Rahe, Hamari Tanhayion Se Aankh Churate Rahe, Aur Humein Bewafa Ka Naam Mila, Kyunki, Hum Har Dard Muskura Kar Chhipate Rahe! |