Baat Karni Mushkil Baat Karni Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi; Jaisi Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisi To Na Thi; Le Geya Cheen Ke Kaun Aaj Tera Sabr-o-Qarar; Be Qarari Tujhe Ai Dil Kabhi Aisi To Na Thi; Teri Aankhon Ne Khuda Jane Kya Kya Jadu; Ki Tabiyat Meri Mayal Kabhi Aisi To Na Thi; Kya Sbab Tu Jo Bigadta Hai 'Zafar' Se Har Baar; Kho Teri Hoor Shmail Kabhi Aisi To Na Thi! |
Rahon Pe Nazar Rakhna Honthon Pe Dua Rakhna; Aa Jaye Koi Shayad Darwaza Khula Rakhna; Ehsaas Kee Shamaa Ko Is Tarah Jalaa Rakhna; Apni Bhi Khabar Rakhna Us Ka Bhi Pata Rakhna; Raaton Ko Bhatakne Kee Deta Hai Saza Mujhe; Dushwaar Hai Pehlu Mein, Dil Tere Bina Rakhna; Logon Ko Nigaahon Se Padh Lene Kee Aadat Hai; Logon Kee Tehreeron Ko Logon Se Bacha Rakhna; Bhuloon Main Agar Aye Dil, Tu Yaad Dila Dena; Tanhai Ke Lamhon Ka Har Zakham Hara Rakhna; Ik Boond Bhi Ashkon Kee Daaman Na Bhigo Paaye; Gham Us Kee Amaanat Hai, Palkon Pe Sajaa Rakhna; Iss Tarah 'Qateel' Us Se Bartaao Rahe Apna; Woh Bhi Na Bura Maane, Dil Ka Bhi Kaha Rakhna! |
Ye Hum Bhi Gawara Karte Hain; Ye Tum Bhi Gawara Kar Lena; Ro-Ro Ke Guzari Hai Humne; Tum Hans Ke Guzara Kar Lena; Betabi Had Se Badh Jaye; Aur Nind Na Aaye Raaton Ko; To Doob Ke Meri Yaadon Main; Duniya Se Kinara Kar Lena; Jis Waqt Janaza Guzrega; Us Shaks Ka Tere Kooche Se; Jazbat Pe Kabu Kar Lena; Khidki Se Nazara Kar Lena! |
Mil Bhi Jaate Hain Toh Mil Bhi Jate Hain Toh Katara Ke Nikal Jaate Hain; Haye Mausam Kee Tarah Dost Badal Jaate Hain; Hum Abhi Tak Hain Giraftar-e-Mohabbat Yaaro; Thokarein Kha Ke Suna Tha Ki Sambhal Jaate Hain; Ye Kabhi Apni Jafa Par Na Hua Sharminda; Hum Samajhate Rahe Patthar Bhi Pighal Jaate Hain; Umar Bhar Jin Kee Wafaon Pe Bharosa Kije; Waqt Padane Pe Wohi Log Badal Jaate Hain! |
Itni Muddat Baad Itni Muddat Baad Mile Ho; Kin Socho Mein Gum Rahate Ho; Tez Hawaa Ne Mujh Se Puchaa; Ret Pe Kya Likhte Rehte Ho; Kaun Si Baat Hai Tum Mein Aisi; Itne Achchhe Kyon Lagte Ho; Hum Se Na Poocho Hijr Ke Qisse; Apni Kaho Ab Tum Kaise Ho! |
Is Ada Se Wo Wafaa Karte Hain; Koi Jaane Ki Wafa Karte Hain; Humko Chodoge To Pachtaoge; Hansne Walon Se Hansa Karte Hain; Ye Batata Nahi Koi Mujhko; Dil Jo Aa Jaye To Kya Karte Hain; Husn Ka Haq Nahi Rehta Baki; Har Ada Mein Wo Ada Karte Hain; Kis Kadar Hain Teri Aankhein Bebaak; In Se Fitne Bhi Hya Karte Hain; Is Liye Dil Ko Laga Rakha Hai; Is Mein Dil Ko Laga Rakha Hai; 'Daag' Tu Dekh To Kya Hota Hai; Jabr Par Jabr Kiya Karte Hain! |
Baat Phoolon Ki Suna Karte The; Hum Kabhi Sher Kaha Karte The; Mashalein Lekar Tumhare Gham Kee; Hum Andheron Mein Chala Karte The; Ab Kahan Aisi Tabiyat Wale; Chot Kha Kar Jo Jiya Karte The; Tark-e-Ehsas-e-Mohabbat Mushkil; Haan Magar Ahl-e-Wafa Karte The; Bikhri Bikhri Hui Zulfon Wale; Kaafile Rok Liya Karte The; Aaj Gulshan Mein Shagufe "Saghar"; Shikwa Ai Baad-e-Sabaa Karte The! |
Kab Ta Dil Kee Khair Manayein Kab Tak Raah Dikhlaoge; Kab Tak Chain Kee Mohlat Doge Kab Tak Yaad Naa Aaoge; Beeta Deed Umeed Ka Mausam Khak Udti Hai Aankhon Mein; Kab Bhejoge Dard Ka Baadal Kab Barkha Barsaoge; Ahd-E-Wafa Ya Tark-E-Mohabbat Jo Chaho So Aap Karo; Apne Bas Kee Baat Hi Kya Hai Hum Se Kya Manwaoge; Kis Ne Vasl Ka Suraj Dekha Kis Par Hijr Kee Raat Dhali; Gesuon Wale Kaun The Kya The Un Ko Kya Jatlaoge; 'Faiz' Dilon Ke Baag Mein Hai Ghar Bharnaa Bhi Lut Jana Thi; Tum Is Husn Ke Lutf-o-Karam Par Kitne Din Itraoge! |
Socha Nahi Achha Bura Socha Nahi Achha Bura Dekha Suna Kuch Bhi Nahi; Manga Khuda Se Raat Din Tere Siwa Kuch Bhi Nahi; Dekha Tujhe Socha Tujhe Chaha Tujhe Puja Tujhe; Meri Khata Meri Wafa Teri Khata Kuch Bhi Nahi; Jis Par Hamari Aankh Ne Moti Bichaye Raat Bhar; Bheja Wahi Kagaz Use Hum Ne Likha Kuch Bhi Nahi; Ek Sham Kee Dehleez Par Baithe Rahe Wo Der Tak; Aankhon Se Kee Baatein Bahut Munh Se Kaha Kuch Bhi Nahi; Do Chaar Din Kee Baat Hai Dil Khak Mein So Jayega; Jab Aag Par Kagaz Rakha Baki Bacha Kuch Bhi Nahi; Ehsaas Kee Khushbu Kahan, Aawaz Ke Jugnu Kahan; Khamosh Yaadon Ke Siwa, Ghar Mein Raha Kuch Bhi Nahi! |
Dil Geya Tumne Liya Hum Kya Karen; Jaane Wali Cheez Ka Gham Kya Karen; Hum Ne Mar Kar Hijr Mein Payi Shifa; Aise Achhon Ka Maatam Kya Karen; Apne Hi Gham Se Nahi Milti Najaat; Is Binaa Par Fikr-E-Aalam Kya Karen; Ek Saaghar Par Hai Apni Zindagi; Rafta Rafta Is Se Bhi Kam Kya Karen; Kar Chuke Sab Apni Apni Hikamtein; Dum Nikalta Ho To Humdum Kya Karen; Kehte Hain Ahl-E-Sifarish Mujh Se 'Daag'; Teri Kismat Hai Buri Hum Kya Karen! |