Waqt Jab Raah Kee Deewar Hua; Koi Sailaab Numudaar Hua; Us Ne Pedon Se Hata Li Shakhein; Baag Mein Se Tu Kayi Baar Hua; Maine Jo Dil Mein Chupana Chaha; Mere Chehre Se Numudaar Hua; Sahili-Shaam Ka Faila Manzar; Kuch Lakiron Mein Giraftar Hua; Raat Ek Shakhs Bahut Yaad Aaya; Jis Ghadi Chaand Numudaar Hua! |
Nikli Mohabbat Kee Jo Baat... Nikli Mohabbat Kee Jo Baat To Tum Yaad Aa Gaye; Uthe Dil Mein Wo Jazbat To Tum Yaad Aa Gaye; Garmi Ne Sukha Diya Tha Teri Yaadon Ko; Hui Jab Phir Pyaar Ki Barsat To Tum Yaad Aa Gaye; Yun To Dil Mera Bebas Na Rehta Tha; Badle Jab Halaat To Tum Yaad Aa Gaye; Sone-Chandi Se Sazi Rehti Thi Kalai Meri; Khali Dekhe Jab Apne Haath To Tum Yaad Aa Gaye! |
Dil Ne Ek Ek Dukh Saha Tanha; Anjuman Anjuman Raha Tanha; Dhalte Saayon Mein Tere Kooche Se; Koi Guzara Hai Barha, Tanha; Teri Aahat Kadam Kadam, Aur Main; Us Maiyat Mein Bhi Raha Tanha; Kuhna Yaadon Ke Barf-e-Jaaron Se; Ek Aansu Baha, Baha Tanha; Doobte Sahil Ke Mod Pe Dil; Ek Khandhar Sa Raha Saha, Tanha; Goonjta Reh Geya Khalaon Mein; Waqt Ka Ek Kehkaha, Tanha! |
Chaman Mein Subah Ye Kehti Thi Ho Kar Chashm-e-Tar Shabnam; Bahaar-e-Baag To Yun Hi Rahi Lekin Kidhar Shabnam; Arq Kee Boond Us Kee Zulf Se Rukhsaar Par Tapki; Tazub Kee Hai Jaage Ye Padi Khurshid Par Shabnam; Humein To Baag Tujh Bin Khana-e-Matam Nazar Aaya; Idhar Gul Phadte The Jeb, Roti Thi Udhar Shabnam; Kare Hai Kuch Na Kuch Taseer Sohbat Saaf Taabon Kee; Hui Aatish Se Gul Ke Baithte Rashq-e-Sharar Shabnam; Bhala Tuk Subah Hone Do Ise Bhi Dekh Levenge; Kisi Aashiq Ke Rone Se Nahi Rakhti Khabar Shabnam; Na Samjha 'Dard' Humne Bhed Ya Kee Shadi-o-Gham Ka; Sehar Khandaan Hai Kyon Roti Hai Kis Ko Yaak Kar Shabnam! |
Ab Khushi Hai Na Koi Gham Rulane Wala; Humne Apna Liya Har Rang Zamane Wala; Har Be-Chehra Si Ummeed Hai Chehra Chehra; Jis Taraf Dekhi Aane Ko Hai Aane Wala; Usko Rukhsat To Kiya Tha Mujhe Maloom Na Tha; Sara Ghar Le Geya Ghar Chhod Ke Jaane Wala; Door Ke Chaand Ko Dhundo Na Kisi Aanchal Mein; Ye Ujala Nahi Aangan Mein Samane Wala; Ek Musafir Ke Safar Jaisi Hai Sabki Duniya; Koi Jaldi Mein Koi Der Mein Jaane Wala! |
Ishq Ko Taqleed Se Azaad Kar; Dil Se Giraya Aankh Se Fariyad Kar; Baaz Aa Ai Banda-e-Husn Mizaz; Yun Na Apni Zindagi Barbaad Kar; Ai Khayalon Ke Makeen Nazron Se Door; Meri Veeraan Khalvatein Aabaad Kar; Nazaz Mein Hichki Nahi Aayi Mujhe; Bhoolne Wale Khuda-Raa Yaad Kar; Husn Ko Duniya Kee Aankhon Se Na Dekh; Apni Ek Tarz-e-Nazar Izaad Kar; Ishrat-e-Duniya Hai Ek Khwab-e-Bahar; Kabaa-e-Dil Dard Se Aabaad Kar; Ab Kahan 'Ehsaan' Duniya Mein Wafa; Tauba Kar Nadaan Khuda Ko Yaad Kar! |
Ye Zamane Kee Wafaye Ye Zamane Kee Wafaye Mere Kaam Kee Nahi; Mujhe Uski Wafa Chahiye Kisi Aam Kee Nahi; Uski To Ek Muskurahat Bhi Anmol Thi; Ye Tamam Muskurahate Kisi Daam Ki Nahi; Mujhe Gham Hai To Uske Chale Jaane Ka; Parwah Mujh Par Lage Kisi Ilzaam Kee Nahi; Mera Haath Dekh Kar Rabb Ye Bola; Bahut Si Chahate Tere Liye Hai Baki; Lekin, Tere Haath Mein Koi Bhi Lakir Uske Naam Kee Nahi! |
Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Un Kee Yaad; Dard Ban Kar Chaa Rahi Hai Un Kee Yaad; Ishq Se Ghabra Rahi Hai Un Kee Yaad; Rukte-Rukte Aa Rahi Hai Un Kee Yaad; Wo Hanse Wo Zer-e-Lab Kuch Keh Uthe; Khwab Se Dikhla Rahi Hai Un Kee Yaad; Main To Khudari Ka Qayal Hun Magar; Kya Karun Phir Aa Rahi Hai Un Kee Yaad; Ab Khyal-e-Tark-e-Rabt Zabt Hi Se Hai; Khud B Khud Sharma Rahi Hai Un Kee Yaad! |
Tere Naam Se Mohabbat Tere Naam Se Mohabbat Kee Hai; Tere Ehsaas Se Mohabbat Kee Hai; Tum Pass Nahi Ho Mere Phir Bhi; Tumhari Yaad Se Mohabbat Kee Hai; Kabhi Tumne Bhi Mujhe Yaad Kiya Hoga; Maine Un Lamhaat Se Mohabbat Kee Hai; Tum Se Milna To Ek Khwaab Sa Lagta Hai; Maine Tumhare Intezar Se Bhi Mohabbat Kee Hai! |
Tumhari Yaad Ke Jab Zakhm Bharne Lagte Hain; Kisi Bahane Tumhein Yaad Karne Lagte Hain; Hadis-e-Yaar Ke Unavan Nikharane Lagte Hain; To Har Harim Mein Gesu Sanwarne Lagte Hain; Har Ajnabi Humein Mehram Dikhai Deta Hai; Jo Ab Bhi Teri Gali Se Guzarne Lagte Hain; Saba Se Karte Hain Gurbat-Nasib Zikr-e-Vatan; To Chashm-e-Subah Mein Aansu Ubharne Lagte Hain; Wo Jab Bhi Karte Hain Is Nutq-o-Lab Kee Bakhiyagari; Faza Mein Aur Bhi Nagme Bikharne Lagte Hain; Dar-e-Qafas Pe Andhere Kee Mohar Lagti Hai; To 'Faiz' Dil Mein Sitare Utarane Lagte Hain! |