Ghazal Shayari

  • Woh Kuch Gehri Soch Mein Aise Doob Geya Hai;
    Baithe Baithe Nadi Kinare Doob Geya Hai;

    Aaj Kee Raat Na Jaane Kintni Lambi Hogi;
    Aajka Suraj Shaam Se Pehle Doob Geya Hai;

    Woh Jo Pyasa Lagta Tha Sailab-Zada Tha;
    Paani Paani Kehte Kehte Doob Geya Hai;

    Shor To Yun Utha Tha Jaise Ik Toofan Ho;
    Sanaate Mein Jaane Kaise Doob Geya Hai;

    Aakhiri Khawhish Poori Kar Ke Jeena Kaisa;
    "Anees" Bhi Sahil Tak Aa Ke Doob Geya Hai!
    ~ Meer Anees
  • Ishq Karo To Ye Bhi Socho Arz-e-Sawal Se Pehle;
    Hijr Kee Poori Raat Aati Hai Subah-e-Visaal Se Pehle;

    Dil Ka Kya Hai Dil Ne Kitne Manzar Dekhe Lekin;
    Aankhein Pagal Ho Jati Hain Ek Khyaal Se Pehle;

    Kis Ne Ret Udaai Shab Mein Aankhein Khol Ke Rakhi;
    Koi Misaal To Hona Us Kee Misaal Se Pehle;

    Kaar-e-Mohabbat Ek Safar Hai Is Mein Aa Jata Hai;
    Ek Zavaal-Aasaar Sa Rasta Baab-e-Kamaal Se Pehle;

    Ishq Mein Resham Jaise Vaadon Aur Khwabon Ka Rastaa;
    Jitna Mumkin Ho Tay Kar Le Gard-e-Malal Se Pehle!
    ~ Noshi Gilani
  • Apni Pyari Aankhon Mein

    Apni Pyari Aankhon Mein Chupa Lo Mujh Ko;
    Mohabbat Tum Se Hai, Chura Lo Mujh Ko;

    Dhup Ho Ya Sehra Tera Sath Chalenge Hum;
    Yaqeen Na Ho To Aazma Lo Mujh Ko;

    Tere Har Dukh Ko Seh Lenge Hans Ke Hum;
    Apne Wazood Kee Chadar Bana Lo Mujh Ko;

    Zindagi Bhi Tere Naam Kar Di Hai Humne;
    Bas Chand Lamhe Seene Se Laga Lo Mujh Ko!
  • Aankh Se Aankh

    Aankh Se Aankh Milata Hai Koi;
    Dil Ko Khinche Liye Jata Hai Koi;

    Va-e-Hairat Ke Bhari Mehfil Mein;
    Mujh Ko Tanha Nazar Aata Hai Koi;

    Chahiye Khud Pe Yakeen-e-Kaamil;
    Haunsla Kis Ka Badhata Hai Koi;

    Sab Karishmat-e-Tasavur Hai 'Shakeel';
    Varna Aata Hai Na Jata Hai Koi!
    ~ Shakeel Badayuni
  • Raat Apne Khwab Kee Keemat Ka Andaza Hua;
    Ye Sitara Neend Kee Tehzeeb Se Paida Hua;

    Zehan Kee Zarakhez Mitti Se Naye Chehre Uge;
    Jo Meri Yaadon Mein Zinda Hai Saraseema Hua;

    Meri Aankhon Mein Anokhe Zurm Kee Tazveez Thi;
    Sirf Dekha Tha Use Us Ka Badan Maila Hua;

    Wo Koi Khushbu Hai Meri Saans Mein Behti Hui;
    Main Koi Aansu Hun Us Kee Rooh Mein Girta Hua;

    Us Ke Milne Aur Bichad Jane Ka Manzar Ek Hai;
    Kaun Itne Fansalon Mein Be-Hijaab Aisa Hua!
    ~ Saqi Faruqi
  • Tum Na Aaye Ek Din Ka Vadaa Kar

    Tum Na Aaye Ek Din Ka Vadaa Kar Do Din Talak;
    Ham Pade Tadpa Kiye Do-Do Pahar Do Din Talak;

    Dard-e-Dil Apna Sunata Hun Kabhi Jo Ek Din;
    Rehta Hai Us Naazneen Ko Dard-e-Sar Do Din Talak;

    Dekhte Hain Khwab Mein Jis Din Kisoo Kee Chashm-e-Mast;
    Rehte Hain Hum Do Jahaan Se Bekhabar Do Din Talak;

    Gar Yaqeen Ho Ye Humein Aayega Tu Do Din Ke Baad;
    To Jiyen Hum Aur Is Ummeed Par Do Din Talak;

    Kya Sabab Kya Vaasta Kya Kaam Tha Batalaiye;
    Ghar Se Jo Nikale Na Apne Tum "Zafar" Do Din Talak!
    ~ Bahadur Shah Zafar
  • Dhoop Ho Chhaaon Ho Tum Saath Nibhaaya Karna;
    Mere Chehre Pe Sada Palkoon Ka Saaya Karna;

    Raah Dekhungi Tumhaari Main Sar-e-Shaam Yunhi;
    Kabhi Jaldi Kabhi Der Se Aaya Karna;

    Daant Lena Sar-E-Mehfil Koi Baat Nahin;
    Phir Akele Mein Gale Laga Kar Manaaya Karna;

    Jaan Jaungi Mein Khushboo Se Tumhaari Tum Ko;
    Tum Peeche Se Meri Aankhoon Ko Chupaaya Karna;

    Jaagna Chahun To Raat Bhar Baatein Karna;
    Neend Aa Jaaye To Mujhe Apne Seene Par Sulaaya Karna!
  • Usi Se Aaye Hain Aashob Aasman Wale;
    Jise Gubaar Samajhate The Karavan Wale;

    Main Apni Dhun Mein Yahan Aandhiyan Uthata Hun;
    Magar Kahan Wo Maze Khaak-e-Aashiyan Wale;

    Mujhe Diya Na Kabhi Mere Dushmano Ka Pata;
    Mujhe Hawa Se Ladhate Rahe Jahan Wale;

    Mere Saraab-e-Tamanna Pe Rashk Tha Jin Ko;
    Bane Hain Aaj Wahi Bahar-e-Be-Karaan Wale;

    Main Nala Hun Mujhe Apne Labon Se Door Na Rakh;
    Mujhi Se Zinda Hai Tu Mere Jism-o-Jaan Wale;

    Ye Musht-e-Khaak 'Zafar' Mera Pairahan Hi Tu Hai;
    Mujhe Zameen Se Darayein Na Kehakashan Wale!
    ~ Zafar Iqbal
  • Kitni Zulfein Kitne Aanchal Ude

    Kitni Zulfein Kitne Aanchal Ude Chaand Ko Kya Khabar;
    Kitna Matam Hua Kitne Aansu Bahe Chaand Ko Kya Khabar;

    Muddaton Us Kee Khwahish Se Chalte Rahe Haath Aata Nahi;
    Chaah Mein Us Kee Pairon Mein Hain Aabale Chaand Ko Kya Khabar;

    Wo Jo Nikla Nahi To Bhatakate Rahe Hain Musafir Kayi;
    Aur Lutte Rahe Hain Kayi Kafile Chaand Ko Kya Khabar;

    Us Ko Davaa Bahut Meethe-Pan Ka 'Wasi' Chandni Se Kaho;
    Us Kee Kirano Se Kitne Hi Ghar Jal Gaye Chaand Ko Kya Khabar!
    ~ Syed Wasi Shah
  • Mohabbaton Mein Dikhave Kee Dosti Na Mila;
    Agar Gale Nahi Milata To Haath Bhi Na Mila;

    Gharon Pe Naam The, Naam Ke Saath Ahude The;
    Bahut Talaash Kiya Koi Aadmi Na Mila;

    Tamaam Rishton Ko Main Ghar Pe Chhod Aaya Tha;
    Phir Iske Baad Mujhe Koi Ajnabi Na Mila;

    Bahut Ajeeb Hai Ye Kurbaton Kee Doori Bhi;
    Wo Mere Saath Raha Aur Mujhe Kabhi Na Mila;

    Khuda Kee Itni Badi Kayanaat Mein Maine;
    Bas Ek Shakhs Ko Maanga Mujhe Wahi Na Mila!
    ~ Bashir Badr
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT