Tujh Se Ab Aur Mohabbat Nahi Ki Ja Sakti; Khud Ko Itni Bhi Aziyyat Nahi Di Ja Sakti! *Aziyyat: Trouble, Torment, Difficulty |
Kuch Nahin Chahiye Tujh Se Ai Meri Umr-e-Ravan; Mera Bachpan Mere Jugnu Meri Gudiya La De! |
Main Tanha Larki Dyar-e Shab Mein Jalaun Sach Ke Diye Kahan Tak; Sayah Karoon Ki Saltanat Mein Kis Tarah Aaftab Likhoon! |
Zamane Walon Se Chup Ke Rone Ke Din Nahi Hain; Use Yeh Kehna Udaas Hone Ke Din Nahi Hain; Main Jaan Sakti Hun Wasal Mein Asal Bhed Kya Hai; Magar Haqeeqat Shnas Hone Ke Din Nahi Hain! |
Yeh Aarzo Thi Ki Hum Us Ke Saath Chalein; Magar Woh Shakhs Toh Raasta Badalta Jata Hai! |
Is Shehar Mein Kitne Chehre The Kuch Yaad Nahi Sab Bhol Gaye; Ik Shakhs Kitabon Jaisa Tha Woh Shakhs Zubani Yaad Hua! |
Yeh Aarzoo Thi Ki Hum Us Ke Saath Chalein; Magar Woh Shakhs Toh Raasta Badalta Jata Hai! |
Kissi Harf Main Kisi Baab Mein Nahi Aaye Ga, Tera Zikar Meri Kitab Mein Nahi Aaye Ga! |
Hijr Kee Shab Mein Qaid Kare Yaa Subh-e-Visal Mein Rakhe, Achha Maula Teri Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhe; Khel Ye Kaisaa Khel Rahi Hai Dil Se Teri Mohabbat, Ik Pal Kee Sarshari De Aur Dino Malaal Mein Rakhe; Maine Sari Khushbuein Aanchal Se Baandh Ke Rakhi, Shayad In Ka Jikr Tu Apne Kisi Sawal Mein Rakhe; Kis Se Tere Aane Kee Sargoshi Ko Sunte Hi, Maine Kitne Phool Chune Aur Apni Shaal Mein Rakhe; Mushkil Ban Kar Toot Padi Hai Dil Par Ye Tanhayi, Ab Jaane Ye Kab Tak Us Ko Apne Jaal Mein Rakhe! |
Yahi Nahi Koi Toofan Meri Talash Mein Hai; Ki Mausam-e-Gham-e-Jaana Meri Talash Mein Hai; Visal-Rutt Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai; Sitara-e-Shab-e-Hijran Meri Talash Mein Hai; Main Fainsle Kee Ghadi Se Guzar Chuki Hun Magar; Kisi Ka Deeda-e-Hairan Meri Talash Mein Hai; Ye Be-Yaqeen See Aasoodgi Batati Hai; Ki Ek Qarya-e-Veeran Meri Talash Mein Hai; Main Teergi Mein Mohabbat Kee Ek Kahani Hun; Mui Charaag Saar Unvan Meri Talash Mein Hai; Ye Kaisa Khwab Tha Dhdaka Sa Lag Geya Dil Ko; Ki Ek Shakhs Pareshan Meri Talash Mein Hai! |